Bhoot Jwar Ilaaj: Jab Doctor Ki Dawai Fail Ho Jaye, Tab Karein Ye 6 Tantrik Upay
Namaskar mere dosto! Kaise hain aap sab? Aaj main, mera 15+ saal ka Vedic Astrology aur Tantra ka anubhav par ek aisi samasya par baat karne ja raha hoon, jiske aage aksar medical science bhi fail ho jata hai. Gaon-dehat ho ya bade shehar, jab kisi ko achanak ajeeb sa bukhar pakad leta aur doctor ko kuch samajh na aaye, toh hamare prachin shastron mein ise ‘Bhoot Jwar’ kehte hain.
Aaj main aapko Bhoot Jwar Ilaaj ke kuch aise 100% sateek aur asli Tantrik upay batane ja raha hoon, jo aapko kisi aam kitab mein nahi milenga. Ye wo Tantrik samadhan hain jo Nakaratmak Urja aur Bhoot Pret Badha ko jad se ukhaad kar phenk deta hai.
Yahan Bhoot Jwar Ilaaj par jankari ke roop mein aapki madad karne ka ek chhota sa prayas kar raha hoon. Yeh Tantra ka chamatkari vidhiyon hai , jo Bhoot Jwar aur Sannipat Jwar ko bilkul nasht karne mein sahayata karta hain. Dhyan se padhiyega:
(1) Hulhul ki Jad ka Chamatkar: Hulhul (Ek Prakar ka Podha) ki jad k rash ko dhyan se rogi ke kaan mein daalne (Ya sparsh karane) se achanak chadha hua bhoot jwar shighra utar jata hai.
(2) Lal Palash ka Bandhan: Lal Palash ki jad ko kisi pavitra dhage mein lapet kar rogi ki bhuja (Baju) mein baandh dene se Bhoot pret badha ke jwar tatha anya prakar ke bukhar bhi turant door ho jate hain.
(3) Apamarg (Chirchita) ki Taqat: Apamarg jise Gaon ki bhasha mein Onga ya Chirchita bhi kehte hain, iski jad ko rogi ki bhuja mein baandh dene se Bhoot Jwar Ilaaj mein zabardast labh milta hai. Ye Nazar Dosh ko bhi kaat deta hai.
(4) Tantrik Anjan (Kajal): Tagar, Bakuchi tatha Neem ko milakar banaye gaye anjan (Kajal) ko rogi ki aankhon mein aanjne (lagane) se bhoot jwar shant hokar door ho jata hai.
(5) Khas Tantrik Dhoop (Dhuni): Guggul, Lahsun, Desi ghee, Saamp ki kenchul, Bandar ke baal, Murge ki beet tatha Kabootar ki beet – in sabko ekattha karke kande (Uple) par sulga lein. Rogi ko iski dhoop (Dhuni) dene se Bhoot jwar tatha iktara aadi jwar shighra door ho jate hain. Ye bahut hi prabhavi Alaukik samasya nivaran upay hai.
(6) Sannipat Jwar ke liye Nirgundi: Ashwini nakshatra mein Nirgundi ki chhaal tatha uske phoolon ki goli banakar, bakre ke baal (Rom) ke saath rogi ki bhuja mein baandh dene se khatarnak se khatarnak Sannipat jwar door ho jata hai.
Mere dosto, kya aapne kabhi socha hai ki upar wale ne aapki kundli mein aayu (umar) kitni likhi hai? Ek taraf Negative Shakti ki hawi aayu ko kam karne lagta hai, wahin dusri taraf kundli ka shubh yog jo insaan ko jeene ka lambi umar deta hai . Kya aapki Kundli mein esa koi yog chhipa hua hai? Ise deeply samajhne ke liye mera yeh khas article zaroor padhein: [Chiranjeevi Yog in Kundli: Kya Aapki Kismat Mein 100 Saal ki Lambi Ayu ka VIP Pass Hai?]
Mera Anubhav ki Baat :
Bhai sahab, tantra ki shakti kya hoti hai, ye main aapko ek bilkul sachi ghatna se batata hoon. Kuch saal pehle mere paas Bihar se ek parivar aaye the. Unka 12 saal ka ladka pichle 2 mahine se ajeeb se Bukhar mein tadap raha tha. Doctor ne saare Blood test, Typhoid, Malaria sab check kar liya, par sab normal! Bacha ajeeb si aawazein nikalta aur raat ko dar kar uth jata tha.
Jab maine dhyan lagaya aur kundli ka deeply analysis ki, toh clear ho gaya ki ye koi medical issue nahi, balki bahari nakaratmak urja ka prabhav se Bukhar hua hai . Maine uske upar pehele to jhada lagaya or Abhimantrit Jaal se Snaan karwaya . Jab wo ghar nikla to uske hath par Shabar Shuraksha kawach ko Pehena diya . Or jaate jaate usko Dhoop dekar bola, Ghar me Do time subah aur shaam ki samay dhoop de dena . Aap yakeen nahi maanoge, yeh upay se uska bukhaar bilkul thik ho gaya tha . Agle din se bacha normal khelne kudne laga. Ye hoti hai hamare prachin Tantra Shastra ka asli power!
Bhoot Jwar Ilaaj ke upar Sawal Jawab
Prashn 1: Bhoot Jwar vastav mein kya hota hai?
Uttar: Chikitsa vigyan mein jab kisi bukhar thik nhi hota . Medical report dekha jaye to koi rog ka reason pata nhi chalta aur rogi ke vyavahar mein achanak asamanya parivartan (jaise Darna, Badbadana) dikhne ko milta, toh tantra shastra ke anusar ise Nakaratmak Urja ya Pret badha ke karan utpann jwar mana jata hai. Sahi Bhoot Jwar Ilaaj se ise sampurn nasht kiya ja sakta hai.
Prashn 2: Kya bhoot jwar ilaaj ke liye bataye gaye tantrik upay vastav mein kaam karte hain?
Uttar: Ji haan, bilkul 100% kaam karta hai ! Janha medical science haath uthaa deta hai , wanha hamara prachin tantra shastra aur ayurved mein jadi-butiyon (jaise Apamarg, Nirgundi, Palash) kaam me aata hai. Jab inhein sahi nakshatra aur vidhi ke saath prayog kiya jata hai, toh yeh achook prabhav dikhati hain aur rogi ko shighra labh pradan karta hai.
Prashn 3: Kya yeh tantrik upay main swayam kar sakta hoon ya kisi visheshagya ki avashyakta hai ?
Uttar: Kuch samanya upay jaise jadi-booti (Chirchita ya Palash ki jad) bandhna aap swayam kar sakte hain. Parantu gambhir sthiti aur tantrik dhuni jaise prayogon ke liye kisi Yogya Jyotishacharya ya Tantra visheshagya ke margdarshan mein hi Bhoot Jwar Ilaaj karna surakshit hota hai, taaki vidhi mein koi truti na ho.
Jyotishacharya Pradip Kumar (15+ saal ka Vedic Astrology aur Tantra Anubhav)
Har samasya ka sthayi aur 100% samadhan ke liye aaj hi sampark karein: (Mo.) +91-9438741641 {Call / Whatsapp}
Agar aap swasthya sambandhit samasyaon ka jyotishiya ya tantrik samadhan dhoond rahe hain, to hamari Health Issues Category me diye gaye anya upay, mantra aur sadhana bhi jarur padhein, jahan vibhinna rogon ke satik aur prabhavshali samadhan bataye gaye hain.