Chiranjeevi Yog in Kundli: Kya Aapki Kismat Mein 100 Saal ki Lambi Ayu ka VIP Pass Hai?
Pranaam mere pyare bhaiyon aur behno! Kaise ho sab? Aaj tumhara yeh bhai, tumhara guru—Acharya Pradip Kumar, Odisha ki mitti ka anubhav lekar ek aisi baat batane aaya hai jo sunkar tumhare kaan khade ho jayenge. Arre baba, sab log paisa-paisa karte hain, par agar sharir hi saath na de toh us paise ka kya karoge? Isliye aaj baat hogi Chiranjeevi Yog in Kundli ki!
Suno dhyan se, jaise gaon mein bade-bude ashirwad dete hain na—”Jug-jug jiyo mere laal”—yeh ashirwad hawa mein nahi nikalta. Iske peeche hoti hai grahon ki chaal. Chiranjeevi ka matlab pata hai? Jo kabhi na mare! Ab kalyug mein amar hona toh mushkil hai, par 100 saal tak thoke baja ke jeena isi ko hum desi bhasha mein Chiranjeevi Yog kehte hain.
Kya Hota Hai Chiranjeevi Yog?
Dekho bhai, Chiranjeevi Yog in Kundli ek aisa VIP pass hai jo Bhagwan ne kuchch chuninda logon ko diya hai. Jab kundli mein shubh grah (jaise Guru aur Shukra) balwan hokar baith jayein, toh samajh lo maut bhi dwar se laut jati hai. Jaise hamare shastron mein 7 maha-purush aaj bhi amar maane jate hain:
-
Ashwatthama (Dronacharya ka beta)
-
Raja Bali (Danveer)
-
Maharishi Ved Vyas
-
Hanuman Ji (Sabke pyare!)
-
Vibhishan
-
Kripacharya
-
Bhagwan Parshuram
In sabke paas wohi shakti thi jo aaj main aapko aapki kundli mein dhundhna sikhayunga.
Ek Real Kahani: Chiranjeevi Yog Ka Chamatkar
Mere paas ek baar Cuttack se ek buzurg aaye. Unki tabiyat aisi ki doctor ne haath khade kar diye. Maine unki kundli dekhi, toh kya dekha? Unke Chiranjeevi Yog in Kundli mein Guru aur Chandra ki aisi jugalbandi thi ki maine unse kaha—”Chacha, fikar mat karo, abhi tumne apne poton ki shaadi dekhni hai!” Maine unhe bas ek chota sa Tantra upay bataya aur grah shanti ki upay dekar chhod diya tha . Aaj woh 92 saal ke hain aur roz subah 4 baje ghumne jate hain. Yeh hai Vedic gyan ki taqat!
Dekho bhai, lambi umar toh mil gayi Chiranjeevi Yog se, par us umar mein Raj-Sukh milega ya nahi? Yeh dekhne ke liye check karo ki kahin aapki kundli mein Gajkesari Yog: Kya aapki kismat mein raja banna likha hai? toh nahi hai? Kyunki lambi umar aur hathi jaisa vaibhav mil jaye, toh sone pe suhaga
Aapki Kundli Mein Chiranjeevi Yog Kaise Check Karein?
Chalo ab thoda “Technical” ho jayein . Apni kundli kholo aur dekho yeh yog hain ya nahi:
1. Singh Lagan aur Guru-Shukra Ka Kamaal
Agar tumhara Singh Lagan hai aur Guru, Shukra, Chandra kark rashi mein dusre ghar mein baithe hain… aur paapi grah (Rahu-Ketu) 3, 6 ya 11 mein hain, toh samajh lo tum lambi race ke ghode ho!
Ab dekho bhai, agar tumhari kundli mein Guru (Jupiter) balwan hai toh sirf lambi umar hi nahi, balki tum rajao jaisa jeevan bhi jee sakte ho! Maine ek aur kamaal ki post likhi hai [Hansa Yoga in Kundli: 5 Secret Fayde Jo Aapko Raja Bana Denge]… ise padh lo, kismat chamak jayegi!
2. Shani aur Mangal Ki Jugalbandi
Lagan mein Shani Maharaj baithe hon, aur Surya-Mangal 12ve ghar mein… baaki sab grah 8ve ghar mein? Bhai, yeh toh loha hai! Aisa aadmi har bimari ko dhobi pachaad deta hai. Chiranjeevi Yog in Kundli aise hi banta hai.
3. Mesh Lagan Ka Special Formula
Agar Mesh Lagan hai, Surya 4th ghar mein kark ka hai, Shani 12ve mein Meen rashi ka aur Mangal 7ve mein… saath mein Chandrama poora balwan ho? Toh beta, tum Chiranjeevi ho!
4. Indra Ke Samaan Jeevan
Vrush Lagan ho aur Chandra, Budh, Shukra, Guru sab ek saath Lagan mein baithe hon… baaki sab 2nd ghar mein? Shastron mein likha hai aisa banda Indra ke samaan raj karta hai aur lambi umar pata hai.
Zaroori Baat: Mere Bhai, sirf grah hone se kuch nahi hota, unka bal (strength) bhi dekhna padta hai sath sath lagn ka swami ki condition bhi important hota hai .
Graho Ka Khel: Kab Banti Hai Amar Kaya?
-
Guru ka Raaj: Agar Guru apne ghar (Dhanu/Meen) mein hokar 1st ya 10th ghar mein ho, aur Shukra Mithun rashi ka ho… toh bhai Chiranjeevi Yog in Kundli balwan ho jata hai .
-
Mantra aur Aushadhi Ka Chamatkar: Kabhi-kabhi baccha paida hote hi khatre mein hota hai, par agar Grah Kendra ya Trikon mein hon, toh mantra-shakti se woh Chiranjeevi Yog paa leta hai.
-
Kark Lagan Ka Ashirwad: Kark Lagan mein Chandrama Vrush ka, Shani Tula ka aur Guru Makar ka ho… toh samajh lo upar wale ne lambi ayu likh kar bheji hai.
Agar aap kundli me banne wale sabhi shaktishali yog ke baare me detail me samajhna chahte hain, to hamari
Most Important Yoga category zarur dekhein.
Aapke Sawal, Acharya Ji Ke Jawab
Q1: Kya Chiranjeevi Yog hone se kabhi bimari nahi hoti? Jawab: Arre bhai, sharir hai toh thoda bahut toh chalega, par Chiranjeevi Yog in Kundli ka matlab hai ki badi se badi museebat se tum baal-baal bach jaoge. Tumhare andar ladne ki shakti hogi.
Q2: Agar meri kundli mein paap grah hain, toh kya meri ayu kam hogi? Jawab: Bilkul nahi! Agar 5ve aur 9ve ghar mein koi paapi grah nahi hai, aur 8ve ghar mein bhi sab shubh hai, toh tum lambi umar paoge. Ghabrao mat, har cheez ka desi upay hota hai.
Q3: Kya Tantra se ayu badhai ja sakti hai? Jawab: Tantra shakti graho ke dush-prabhav ko kam karti hai. Jaise chate (umbrella) se baarish nahi rukti, par tum bheegte nahi ho. Bas wahi kaam tantra aur sahi anushthan karte hain.
Q4: Kanya Lagan walon ke liye kya hai? Jawab: Kanya lagan ho, Budh 7ve ghar mein aur Guru Kendra mein ho… toh bhai tum bhi Chiranjeevi ki list mein shamil ho!
Q5: Chiranjeevi Yog check karne ke liye kya chahiye? Jawab: Bas apni sahi janm tithi, samay aur jagah.
Antim Shabd
Dekho doston, Chiranjeevi Yog in Kundli ek uphar hai. Par iska matlab yeh nahi ki aap apni sehat ka dhyan na rakhein. Grah rasta dikhate hain, chalna aapko hai. Agar aapko lagta hai ki aapki kundli mein dosh hai ya ayu ko lekar darr lagta hai, toh ghabrao mat. Shastra mein har problem ka hal hai.
Aapka apna, Acharya Pradip Kumar (Vedic Astrologer & Tantra Expert), Mob: +91-9438741641