Dirghayu Yog Kundli -Lambi Umar Aur Arogya Ke Asli Niyam
Namaskar Doston! Jai Mahakal!
Main hoon aapka apna Acharya Pradip Kumar. Aaj kal ki bhaag-daud bhari zindagi me milawati khaan-paan ke beech, har insaan ke dimaag mein ek hi sawal normal rahta hai— “Guru ji, kya meri umar lambi hai ki nahi ? Kya main budhape tak swasth rahunga ya Hospital ke chakkar kaatne padenge kya ?” Doston, medical science apni jagah hai, par Vedic Astrology apne sthan me . Yh vedic astrology ek esa vidya hai jo aapke kundli ki grah stiti or lagn bhav ko vichar karke pehle hi bata deti degi aapka swasthya kaisa rahega aur aapka umar kitna hai etc. Aaj main aapse kitaabi baatein nahi, balki apne 15+ saal ke anubhav ka wo gyan share karne ja raha hoon. Aaj hum baat karenge Dirghayu Yog Kundli (लंबी आयु और आरोग्य योग) ke baare mein. Agar aapki ya aapke kisi apne ki kundli mein niche bataye gaye yog hain, toh samajh lijiye – Yamraj ko bhi aapse door rehna pad sakta hai !
Bina kisi mehenge pathar (Gemstone) ke dikhawe ke, seedhe aate hain main astrological points par :
Dirghayu Yog Kundli :Rules for Long & Healthy Life
Chaliye aaj dekhte hain wo kaun se Grah hain jo aapke kundli me Dirghayu Yog Kundli bankar aapko ek lambi umar ka aashirwad deta hain. Aage badhkar dekhte hain kundli ka most important grah yuti saath saath grah ka role :
-
Grahon ka Khel: Agar 5वें भाव में चन्द्रमा हो, 9वें भाव में देवगुरु बृहस्पति (Jupiter) बैठे हों, और दशम भाव (10th house) में मंगल विराजमान हों, toh insaan beemariyon ko hara kar lamba jeeta hai.
-
Shani ka Prabhav: Aayu ka karak Shani 8वें भाव (अष्टम भाव) में हो, और अष्टमेश (8th lord) अपनी ही राशि में स्थित (स्वगृही) हो। (Shani aathve ghar mein aayu badhata hai).
-
Mukhya Grahon ki Sthiti: कुंडली का लग्नेश, अष्टमेश और दशमेश—ये तीनों 1, 4, 5, 7, 9 या 10वें भाव में बैठे हों।
-
Kendra ki Taqat: छठा भाव जो रोगों का है, उसका स्वामी (षष्ठेश) और दशमेश केंद्र (1, 4, 7, 10) में मजबूत होकर बैठे हों।
-
Paap aur Shubh Grah: क्रूर या पाप ग्रह (जैसे राहु-केतु, मंगल) 3, 6 या 11वें भाव (उपचय भाव) में हों, और सभी शुभ ग्रह 1, 4, 5, 7, 9 या 10वें भाव में हों।
-
Balwan Lagna: बलवान लग्नेश केंद्र में बैठे हों, और अन्य ग्रह 3, 4 या 8वें भाव में हों।
-
Vipreet Sthiti: मंगल 5वें घर में, सूर्य 7वें घर में और शनि अपनी नीच राशि (मेष) में हो। (Yeh ek gupt lambi umar ke yog ka nirmaan karta hai).
-
Aayu Bhav (8th House): अष्टम भाव (आयु भाव) में शुभ ग्रह (जैसे शुक्र, बुध या गुरु) दृष्टि डालें या विराजमान हों।
-
Neech ka Shani: नीच का शनि केंद्र या त्रिकोण में हो, और ग्रहों का राजा ‘सूर्य’ किसी शुभ ग्रह के साथ 1, 4, 7 या 10वें भाव में हो।
-
Guru ka Ashirwad: लग्नेश या षष्ठेश (रोग भाव का स्वामी) देवगुरु बृहस्पति से युत (Conjunction) हों। गुरु का साथ हर बीमारी काट देता है।
-
Lagna ki Shuddhata: लग्न (Ascendant) में सभी शुभ ग्रह बैठे हों, तो व्यक्ति जीवनभर निरोगी (Healthy) रहता है।
-
Surya par Drishti: आत्मा और आरोग्य के कारक ‘सूर्य’ पर गुरु या चन्द्रमा की शुभ दृष्टि पड़ रही हो।
-
Lagnesh ki Taqat: लग्नेश (लग्न का स्वामी) कुंडली के केंद्र या त्रिकोण (1, 5, 9) में मजबूत स्थिति में हो।
-
Shubh Sambandh: लग्नेश और अष्टमेश के बीच कोई गहरा शुभ योग या दृष्टि संबंध बन रहा हो।
Doston, jis tarah sitaron ki chaal se humari lambi umar (Dirghayu Yog) tay hoti hai, theek usi tarah humari kundli mein videsh yatra (Foreign settlement) ka bhi rahasya chhupa hota hai. Kya aap videsh jakar lakho kamane aur wahi settle hone ka sapna dekh raha hai? Apna paisa visa agents par lutane se pehle apni kundli ka asli sach yahan janiye: [Videsh Yog Kundli: क्या आपकी कुंडली में विदेश जाने का योग है?]”
Mera Anubhav ki Baat :
(Client ki privacy ke liye yanha naam badla gaya hai) Baat pichle saal ki hai. Delhi se Rakesh ji apne 60 saal ke pitaji ki kundli lekar mere paas aaye the. Unke pitaji ko achanak ek aisi bimari ne gher liya , jo wo kabhi bed se uthna unke liye possible nhi tha . Or upar se doctors ne jawab de diya tha , jitna possible hoga unka dekhbhal karo . Isi baat ko lekar unke saare family members toot chuke the . Rakesh ne rote hue kaha, “Acharya ji, doctors keh rahe hain bas kuch din ki baat hai.”
Doston, jab maine unke pitaji ki kundli kholi, toh dekha ki unki kundli mein markesh ki dasha zaroor chal rahi thi, par uske theek peeche ek bohot hi strong ‘Arogya Yog’ aur Dirghayu Yog Kundli mein ban raha tha (Lagna bhav mein Guru aur 8th bhav mein swagrahi Shani present the ).
Maine Rakesh se saaf kaha, “Bhai sahab, Yamraj abhi inke pran nahi le ja sakte, inki aayu baaki hai.” Maine Rakesh ji ko thoda sambhalne keliye bola saath saath Aghor Mantra Upay ke sath sath kuchh Health related Tantra Totka unko bataya jo Vedic Jyotish ke related hai .
Aap yakeen nahi manenge, 15 din baad Rakesh ka call aaya ki unke pitaji ki reports normal aane lagi hain aur wo recovery kar rahe hain. Aaj wo bilkul theek hain! Ise kehte hain sitaron ki asli taqat.
“Doston, Rakesh ji ke pitaji ki tarah ‘Dirghayu Yog’ ka chamatkar toh aapne dekh liya. Par kya aap jaante hain ki Vedic Jyotish mein ek aur aisi anokhi grah sthiti banti hai jise seedha ‘Amrit’ ke saman mana gaya hai? Ise kehte hain ‘Chiranjeevi Yog’! Kya aapki ya aapke bacchon ki kundli mein yeh yog ban raha hai, jo insaan ko ajar-amar jaisi lambi umar deta hai? Iska sabse bada rahasya janne ke liye mera yeh khaas blog zaroor padhein: [Chiranjeevi Yog in Kundli: Kya aapki kismat mein lambi umar hai?]“
Kundli Mein Dirghayu Yog ke upar Kuchh Khaas Sawal Jawab
Q1: Acharya ji, ek perfectly strong Dirghayu Yog Kundli mein kaise banta hai?
Answer: Bhai! Jab aapki kundli ka Lagnesh (jism ka malik) aur Ashtamesh (Aayu ka malik) dono balwan hokar kendra ya trikon mein baith jayein, aur unpar Guru (Jupiter) ki shubh drishti pad jaye, toh samajh lo ek perfect Dirghayu Yog Kundli taiyar hai. Aise insaan ko choti-moti beemari chhu bhi nahi sakti.
Q2: Agar meri kundli mein Markesh chal raha hai, toh kya meri aayu choti ho jayegi?
Answer: Bilkul nahi mere bhai ! Markesh ka matlab hamesha maut nahi hota. Markesh aksar kasht, beemari ya mental stress deta hai. Agar aapki kundli mein lambi umar ke yog (jaise 8th house mein Shani) strong hain, toh Markesh aapka baal bhi banka nahi kar sakta. Bas sahi samay par sahi Vedic upay karna zaroori hai.
Q3: Swasthya (Health) theek rakhne ke liye Astrologer wale kehte hain Pukhraj ya Moti pehan lo, kya ye sahi hai?
Answer: Seedhi baat hai – Agar aapko dhoke me fasna hai to pehan lo . Janha Vedic upay se aapka problem shortout ho raha hai wanha ye sab kharcha karne ki kya jarurat hai . Agar sirf Gemstone se bimari khatam ho jata hai to Bhai Sahab – jitne saare Doctor hai wo sab hospital or padhai chhodkar Gemstone bechne lag jayenge . Mera baat maano -ye sab faltu ka kharcha naa karke aap Vedic Upay ke saath saath Dr. check up jarur karwao . Yakin maano , tabiyat me sudhaar jarur hoga .
Q4: Ayurveda aur Health Astrology mein aapas mein kya connection hai?
Answer: Bohot gehra connection hai! Jaise Ayurveda mein Vata, Pitta, Kapha hota hai, waise hi Astrology mein grah inhi tatvon ko control karte hain. Mangal aur Surya ‘Pitta’ (Garmi) badhate hain, jabki Shani ‘Vata’ (Gathiya, dard) badhata hai. Kundli dekh kar hum pehle hi bata sakte hain ki budhape mein kaun si beemari aayegi, taaki aap pehle se alert ho jaye.
Q5: Aayu badhane aur har beemari se bachne ka sabse sateek aur free Vedic upay kya hai?
Answer: Ek simple ‘Desi’ upay yaad rakho—Roz subah uth kar Surya Narayan ko jal do aur Mahamrityunjaya Mantra ki ek mala (108 baar) jaap karo. Yeh ek akela upay aapke swasthya ka sabse bada kavach ban jayega.
Aakhri Baat: Doston, zindagi aur maut ka hisab toh us upar wale ke haath mein hota hai . Lekin aapka karm aapke haath me hai , to aajse sahi karm karo saath saath apna suraksha khud karlo . Agar aap ya aapke koi parijan ki health ko lekar chintit hai to unke kundli ka bichar karke dekhlo , kanhi unke kundli me yeh Dirghayu Yog Kundli mahjood hai kya . Medical Astrology ke related koi bhi samasya hai to aap niche diye gaye Contact no. par sampark kar sakte ho.
Agar aap kundli me banne wale sabhi shaktishali yog ke baare me detail me samajhna chahte hain, to hamari Most Important Yoga category zarur dekhein.
Acharya Pradip Kumar (Vedic Astrologer & Tantra Expert – 15+ years experience)
हर समस्या का स्थायी और 100% समाधान के लिए संपर्क करे: +91- 9438741641(Call/ Whatsapp)