गजकेसरी योग: क्या आपकी किस्मत में राजा बनना लिखा है?

Gajakesari Yoga Kya Hai? हाथी जैसी ताकत और शेर जैसा रुतबा देने वाला योग!

Pranam mere bhaiyon behno! Kaise ho sab? Main hoon aapka apna Acharya Pradip Kumar, Odisha wala, wahi 15 saal se zyada ka kismat ka tajurba liye baitha hoon. Aaj jo baat bataunga na, woh kitabon mein nahi milegi, woh milegi mere anubhav mein aur aapki kismat ke sitaron mein.

Aaj ka vishay hai—Gajakesari Yoga. Arre bhai, naam sunte hi romte khade ho jate hain! ‘Gaja’ matlab hamara pyara Haathi, aur ‘Kesari’ matlab jungle ka raja Sher. Socho, jiske paas Haathi jaisa apar dhan aur Sher jaisi dahaad ho, uski toh life set hai na? Chalo, aaj iska poora kacha-chittha kholte hain !

Gajakesari Yoga: Asal Mein Ye Kya Hai?

Dekho bhai, seedhi si baat hai. Jab aapki kundli ke kund mein Devguru Brihaspati (Jupiter) aur Chandrama (Moon) ek-doosre ke aamne-saamne ya ek-doosre se 1, 4, 7, 10 ghar (bhav) mein baithe hon, toh banta hai ye shaktishali yog.

Isko aise samjho mere Bhai —Guru hai gyaan ka samundar, aur Chandrama hai aapka mann aur thandak. Jab ye dono milte hain, toh dimaag aur naseeb ka aisa combination banta hai ki insaan mitti ko chhuye toh sona ban jaye. Yeh yog Netaon, Bade Vyapariyon aur Filmi sitaron ki kundli mein koot-koot kar bhara hota hai.

Doston, jaise Gajakesari Yoga kismat chamkata hai, waise hi ek aur durlabh yog hai jo Guru ki kripa se banta hai. Agar aapko raj-sukh chahiye, toh mera ye naya post zaroor padhein: [Hansa Yoga in Kundli: 5 Secret Fayde Jo Aapko Raja Bana Denge!]

Mera Anubhav ki Baat :

Baat pichle saal ki hai, ek bhai aaye mere paas . Unka ghar paas ki thi. Wo kehene lage “Pradip ji, sab hai par izzat nahi hai, paisa aata hai par tikta nahi.” Maine kundli jab dekhi, Gajakesari Yoga toh tha par bechara Guru ‘Vakri’ (tedha) hokar baitha tha aur Chandrama par Rahu ki buri nazar thi. Maine kaha—”Bhai, tera haathi toh hai par wo zanjeeron mein bandha hai.” Maine unko ek chhota sa desi nuskha bataya aur Chandrama ka daan karwaya. Aaj woh banda apne shehar ka sabse bada Road Contractor hai! Izzat aisi ki log raasta chhod dete hain.


12 Gharon Mein Gajakesari Yoga ka ‘Action’ 

  1. Pehle Ghar Mein (Lagna): Bhai sahab, agar yahan ye yog hai toh aap jahan khade hoge, line wahin se shuru hogi. Log aapko dekhne ke liye tadpenge. Personality aisi ki bina bole log fan ho jayein. Raja jaisa jeevan jiyoge!

  2. Doosre Ghar Mein: Yeh hai dhan ki potli! Yahan yog bana toh kabhi jeb khaali nahi rahegi. Aapki boli mein aisi jaan hogi ki patthar bhi pighal jaye. Bade sant-mahatma isi ghar se nikalte hain.

  3. Teesre Ghar Mein: Yahan ye yog aapko ek number ka parakrami banata hai. Bhai-behen bhi bade bade Officer bante hain. Log aapke naam se thar-thar kaanpenge.

  4. Chauthe Ghar Mein: Maa ka ashirwad aur Ghar-Gaadi ki bauchhaar! Itni zameen-jaydad hogi ki sambhaal nahi paoge. Rehne ka thikana kisi mahal se kam nahi hoga.

  5. Pancham Ghar Mein: Dimaag chale ga 5G ki speed se! Scientist, Bade Teacher ya Writer banoge. Aur sabse badi baat—aapki aulaad aapka naam roshan karegi.

  6. Chatthe Ghar Mein: Yahan thoda dhila pad jata hai mamla. Dushman toh dabe rahenge, par man mein thodi khich-khich rahegi. Maa ki sehat ka dhyan rakhna padega.

  7. Saptam Ghar Mein: Shaadi aisi hogi ki duniya dekhti reh jayegi. Wife ya husband ekdum uchh vichaar wala aur Amir Khandan se milega.

  8. Ashtam Ghar Mein: Yahan ye gupt vidya deta hai. Bade-bade Tantrik aur Sadhu isi se bante hain. Achanak kahin se gadda hua dhan ya vasiyat mil sakti hai.

  9. Navam Ghar Mein: Bhaiya, ye toh Kismat ka Jackpot hai! Aapki bhakti sacchi hogi aur bhagwan har kadam par saath denge.

  10. Dasham Ghar Mein: Career mein aag laga doge ! Pita ka naam uncha karoge aur samaj mein sabse unchi kursi par baithoge. Dasham bhav ka Gajakesari Yoga toh seedha mantri ki kursi tak le jata hai. Par kya aapki kundli mein neta banne ke aur bhi bade yog hain? Janne ke liye mera ye khas article padhein— [Rajneta Yog Kundli: Kya Aapki Kismat Mein Kursi Hai Ya Sirf Jhanda Uthana Likha Hai?]

  11. Gyarwan Ghar Mein: Income ke raste hi raste ! Ek jagah se paisa khatam nahi hoga, doosri jagah se aa jayega. Ghar baithe Laxmi barsegi.

  12. Barwan Ghar Mein: Kharch toh hoga par shubh kaamon mein. Ghar se door rehkar khoob kamoge.


Kis rashi mein Gajakesari Yoga kitna swaad Deta Hai ?

  • Mesh: Tezz dimaag aur Dushmanon ka saafaya.

  • Vrishabh: Dayalu dil aur Dher Saara Paisa.

  • Mithun: Scientific dimaag, har cheez ka logic.

  • Kark: Arre waah! Yahan toh Guru uchh ka hai. Sabse best result yahi milta hai.

  • Simha: Jungle ke raja jaisa rutba aur mehange kapde.

  • Kanya: Chaturaai aisi ki koi thag na sake.

  • Tula: Artist dimaag aur videsh ghoomne ka shauk.

  • Vrishchik: Thode ziddi par kaam nikaalna jaante hain.

  • Dhanu: Adhyatm mein master aur gyaan ka bhandar.

  • Makar & Kumbh: Yahan thoda struggle hai kyunki Shani dev ki rashiyan hain. Par mehnat ka phal milta zaroor hai.

  • Meen: Apni rashi mein Guru ekdum shanti aur dhan deta hai.


Kab Ye Gajakesari Yoga Phisaddi Ho Jata Hai?

Bhaiyo, kai log bolte hain “Pradip ji, kundli mein yog toh hai par hum toh cycle pe ghoom rahe hain.” Suno dhyan se:

  1. Agar Guru ya Chandra ‘Neech’ rashi mein hain.

  2. Agar Guru ‘Vakri’ (tedha) chal raha ho.

  3. Agar ye 6, 8, 12 Ghar mein paap grahon ke saath fansa ho.

  4. Agar kundli ka ‘Lagna’ hi kamzor ho. In sabka ilaj hai shastra me! Pareshan mat ho.

Agar aap kundli me banne wale sabhi shaktishali yog ke baare me detail me samajhna chahte hain, to hamari Most Important Yoga category zarur dekhein.

Gajakesari Yoga ke Baare me Fatafat Sawal Ka Jawab :

Q1. Kya Gajakesari Yoga sabko amir banata hai? Ans: Haan, par dasha aana zaroori hai. Bina dasha ke toh engine bina tel ke jaisa hai.

Q2. Kya ye yog dushmanon ko khatam karta hai? Ans: Bilkul! Sher ke saamne kutte nahi tikte, waisa hi asar hota hai dushman par.

Q3. Mere pas paisa nahi tikta, kya ye yog madad karega? Ans: Agar ye yog hai, toh upaye karke ise jagao. Paisa tikega bhi aur badhega bhi.

Q4. Kya maas-madira (non-veg/alcohol) se ye yog kharab hota hai? Ans: 100%! Guru ek pavitra grah hai. Agar aap gandi aadtein rakhoge toh shubh phal bhool jao.

Q5. Kya ye yog neta banne mein madad karta hai? Ans: Dasham bhav ka Gajakesari Yoga seedha mantri ki kursi tak le jata hai.


Dekho bhaiyon, kismat badalna aapke haath mein hai. Agar kundli mein Gajakesari Yoga hai toh use pehchano aur mujhse sampark karo.

Acharya Pradip Kumar (Vedic Astrologer & Tantra Expert)

Mob: +91-9438741641 (Call/Whatsapp)

Mystic Shiva Astrology – Desi Gyaan, Asli Samadhan!

Acharya Pradip Kumar is the founder of Mystic Shiva Astrology and a practitioner of Vedic astrology with a solution-oriented approach. His work focuses on understanding birth charts as tools for clarity, awareness, and practical decision-making rather than fear-based predictions. Rooted in classical astrological principles and real-life experience, he emphasizes responsible guidance, timing, and conscious remedies aligned with an individual’s life path.

Leave a Comment