Bhai dekho, shastron mein likha hai:
हंसे सद्भिरभ्रष्टुतः क्षितिपतिः शङ्खब्जमत्स्याङ्कुशै श्र्चिन्हैः पाद्कराङ्कितः शुभवपुर्मृष्टान्नमुग्धार्मकः||-{{Phaladeepika}}
Iska seedha sa matlab pata hai kya hai? Hansa yoga wala banda koi aam aadmi nahi hota, woh rajaon jaisa jeevan jeeta hai. Uska sharir sundar hota hai aur uske haath-pairon mein shubh chinn hote hain. Par kya har bande ki kundli mein yeh yog kaam karta hai? Arre nahi baba! Asli sachai toh kuch aur hi hai jo main aaj aapko apne 15 saal ke tajurbe se batane wala hoon.
Panch Mahapurush Yoga Kya Hai?
Suno bhaiyo, agar hum Hansa Yoga in Kundli ki baat karein, toh yeh koi mamuli yog nahi hai. Yeh “Panch Mahapurush Yoga” mein se ek sabse shubh yog mana jata hai. Pehle toh yeh samjho ki hamari kundli mein 5 aise grah hain jo “Mahapurush” banne ki kshamta rakhte hain—Mangal, Budh, Guru, Shukra aur Shani. Jab ye grah apne khud ke ghar mein ya unch (exalted) hokar ‘Kendra’ (1, 4, 7, 10 bhav) mein baithte hain, toh banta hai Mahapurush Yoga.
-
Mangal banata hai Ruchak Yoga.
-
Budh banata hai Bhadra Yoga.
-
Guru banata hai Hansa Yoga.
-
Shukra banata hai Malavya Yoga.
-
Shani banata hai Shash Yoga.
Kendra ko hum Vishnu sthan kehte hain. Jaise Bhagwan Ram aur Shri Krishna ki kundli mein ye yog virajman the, waise hi agar aapki kundli mein Guru Maharaj sahi jagah baithe hain, toh aapki kismat ka darwaza khulne wala hai!
Agar aap kundli me banne wale sabhi shaktishali yog ke baare me detail me samajhna chahte hain, to hamari
Most Important Yoga category zarur dekhein.
Hansa Yoga in Kundli Kaise Banta Hai?
Chalo, ab thoda dhyan se suno jaise gaon mein guru ji samjhate hain. Guru (Jupiter) tab Hansa Yoga banata hai jab woh:
-
Apni Uch Rashi (Cancer/Kark) mein ho .
-
Apni Mool Trikona Rashi (Sagittarius/Dhanu) mein ho .
-
Ya apne khud ke ghar Dhanu (Sagittarius) ya Meen (Pisces) mein ho.
Condition kya hai? Woh kundli ke 1, 4, 7, ya 10ve ghar mein hona chahiye. Agar Guru in rashiyo mein hokar in charo gharon mein se kisi ek mein baitha hai, toh mubarak ho—aapki kundli mein Hansa Yoga hai!
“Bhaiyo, sirf ek yog se poori tasveer saaf nahi hoti! Jaise Hansa Yoga aapko gyaan deta hai, waise hi kya aapki kundli mein ‘Raja’ banne wala woh khaas secret chupa hai? Aur kahin koi ‘Dosha’ aapki tarakki rok toh nahi raha?
Abhi jaaniye: Kundli Me Rajyog aur Dosha: Kya Aapki Kismat Mein Raja Banne Ka Secret Hai?“
Mera Asli Anubhav:
Mere paas Odisha ke Tangi mein ek client aaye the. Bechaare bade pareshan, dukan chalti nahi thi, dimaag hamesha tension mein rehta tha. Maine unki kundli dekhi toh paya ki unka Hansa Yoga in Kundli toh tha, par woh Shani ki 10th drishti se danda kha raha tha. Maine unhe ek chota sa upay bataya sath saath —Guru Grah ki shanti keliye Tantrik mantra ka Roj 3mala jaap aur peele vastra ka daan.
Bhaiyo, vishwas karo, 6 mahine baad wahi banda mithai ka dabba lekar aaya aur aaj uski do-do dukane hain! Hansa Yoga sote hue ko bhi jaga deta hai, bas usse activate karna aana chahiye.
Hansa Yoga Wale Jaatak Kaise Hote Hain?
Jiski kundli mein yeh yog hota hai na, uski pehchan door se hi ho jati hai:
-
Sundar Vyaktitv: Chehre par ek alag hi tej (Glow) hota hai, bilkul sone ki tarah chamakti twacha.
-
Baudhik Shakti: Woh padha-likha ho ya na ho, par gyaan uske koot-koot kar bhara hota hai.
-
Dayalu Swabhav: Woh hamesha dusron ki bhalai sochega. Uske doston ki toli badi lambi hoti hai.
-
Dhan-Sampatti: Aise log aksar bade business, vasiyat ya salahkar (Consultant) bankar khoob paisa kamate hain.
Hansa Yoga ki Sambhavna: Kya Yeh Itna Rare Hai?
Ganit (maths) ke hisab se dekhein toh har 144 mein se 1 kundli mein Guru pehle ghar mein Meen rashi mein hota hai. Agar hum saari possibilities jodein, toh har 12wi kundli mein Hansa Yoga banna chahiye. Par bhai, sach toh yeh hai ki asli phal tabhi milta hai jab Guru par kisi paapi grah ki nazar na ho aur woh degree mein balwan ho. Sirf lagn mein baithne se kuch nahi hota, Grah mein jaan honi chahiye!
Hansa Yoga ko lekar aapke sawal aur mere anubhav :
Q1. Kya Hansa Yoga hone se main ameer ban jaunga? Haan bilkul, par shart yeh hai ki Guru balwan ho. Hansa yoga aapko sukh, sampatti aur samaj mein maan-samman dilaata hai.
Q2. Agar Guru neech rashi mein ho toh kya hoga? Agar Guru Makar rashi mein hai, toh Hansa yoga nahi banega, balki Guru neech ka ho jayega. Iske liye aapko upay karne padenge.
Q3. Hansa Yoga ka sabse zyada fayda kab milta hai? Jab Guru ki Mahadasha ya Antardasha chalti hai, tab is yog ka asar bombastic hota hai!
Q4. Kya Hansa Yoga spiritual powers deta hai? Ji haan, aise jaatak aksar bade Dharam-Guru, Astrologer ya Darsahnik (Philosopher) bante hain. Inhe intuition bahut strong hota hai.
Q5. Kya mahilao ki kundli mein bhi yeh yog kaam karta hai? Bilkul! Shastra sabke liye barabar hain. Hansa Yoga wali mahilaayein ghar aur bahar dono jagah samman paati hain.
Antim Sandesh :
Dosto, astrology darr ka naam nahi, balki sahi raste ka nishaan hai. Agar aapki kundli mein Hansa Yoga hai, toh aap ek kismat wale insaan ho. Bas apne karmo ko saaf rakho aur Devguru ka ashirwad lete raho. Agar aapko apni kundli dikhani hai ya koi tantra-mantra ki samasya hai, toh niche diye number par be-jhijhak sampark karein.
Acharya Pradip Kumar (Vedic Astrologer & Tantra Expert)
Mob: +91-9438741641 (Call/Whatsapp)