Jhaada Mantra Health: Bimariyon Se Mukti Ka Prachin Aur Achuk Rambaan Ilaaj!
Namaskar dosto! Main aapka Jyotishacharya Pradip Kumar. Pichle 15 saalon se Vedic Astrology aur Tantra Mantra ke madhyam se logon ki sewa kar raha hoon. Aajkal ki life me bimariyan to jaise ghar ka sadasya ban chuka hai. Dekhiye, dawaiyan apni jagah bahut zaroori hain, lekin hamare Ayurveda aur Tantra shastra me Jhaada Mantra Health ka jo chamatkar hai, wo apne aap mein adbhut hai. Jab Medical Science ke sath hamara Vedic Mantra upay milta hain, toh bimari se chhutkaraa paane ka chances 10 Guna badh jaata hai.
Gaon-dehat se lekar bade shehron City tak, aaj bhi log is prachin vedic upay ke upar poora bharosa karte hain. Chaliye aaj main aapko iske upar details me batata hun ….
Jhaada Mantra Ka Mahatw :
Dekhiye dosto, kai baar hamara weak hona sirf sharir ki nahi hoti, wahan ka Negative energy ke prabhav se bhi hota hai. Jhaada mantra positive vibes create karta hai , jisse Hamara Sharir or charotaraf ek positive urja create karta hai . Jisse aadmi ko andar se swasth rakhne ke sath-sath bahari bimariyon se bachane me ek suraksha kawach ki tarah madad karta hai. Yeh mantra tantra upay ko hamara purwojo hazaro saalo pehele se hamara bhalai keliye chhod kar gaye hain, jo aaj bhi 100% kaam karta hai.
Mere Anubhav Ki Baat
Pichle do saal ki baat hai, mere paas Odisha ke Balugaon area se Ramesh ji aaye the. Unko pet ki aisi bhari samasya (udar rog) thi, jisse kai doctor ki check-up aur dawaiyon ka asar unke upar nahi ho raha tha. Saare test aur report normal, lekin dard se unka bura haal rehta tha. Unki patni roti hui aayi aur saari baat batai. Maine unki kundali ko dekha aur turant samajh gaya ki yeh tantra mantra aur buri urja ke prakop se hua hai.
Maine unhein medical ilaj jari rakhne ko kaha aur sath hi ek shaktishali Hanuman mantra, yani “Udar Rog Dosh Nivaran Mantra” ko siddh karke mor pankh se unka jhaada lagaya. Unko meri taraf se ek aadesh diya gaya tha – “Roz aapko subah ya shaam ko ek baar aashram mein haziri deni hai.” Wo meri baat maan kar roz shaam ko aate the aur jhaada lagakar wapas ghar chale jate the. Yakeen maniye dosto, ekdum 2 ghante me pet dard me kafi pharak padne laga . Sirf 11 din ke andar unka dard jad se khatam ho gaya! Aaj wo bilkul fit hain. Yahi asli taqat hai hamare shastron ki!
Jhaada Lagane Ki Sahi Vidhi (Kaise Karein?)
Bina sahi vidhi ke koi bhi kaam safal nahi hota hai. Jhaada mantra ka prayog karne ke liye aapko in kuch niyam ka palan karna chahiye:
Sahi Jagah: Sabse pehle aapko ek swachh aur shant sthan ka chunav karna chahiye jahan aap bina kisi rukawat ke mantra ka path kar sakein.
Sahi Jhaada: Jhaada lagane ke liye hamesha Mor Pankh (Peacock feather), Neem ki daali, ya Kusha ghas ka hi prayog karna chahiye. Ghar wali jhadu galti se bhi use na karein!
Poora Vishwas: Apne Isht Dev ya Hanuman Ji ka dhyan karte hue, jhaade ko urja dene ke liye mantra ko poore vishwas ke sath padhein.
Dhyan Rakhne Wali Baat: Prayog karte samay rogi ke sir se lekar paon tak jhaade ko ghumayein aur aisi bhavna rakhein ki saari negative energy sharir se bahar nikal rahi hai. Yeh rogo ka ilaj karne ki ek achuk jhaada vidhi hai.
Vibhinn Rogon Ke Liye Shaktishali Jhaada Mantra
Swasthya ko sudharne aur rogon se bachne ke liye Jhaada Mantra Health benefits bahut saare hain. Niche kuch siddh mantra diye gaye hain:
(a) Piliya Rog (Jaundice) Jhaada Mantra: मंत्र : “ॐ यो यो हनुमन्त फलफलित धग्धगिति आयुराष परुडाह ।” Pratyek Mangalwar ko vrat rakhkar is mantra ka 25 mala jap karne se mantra siddh ho jata hai. Is mantra ke dwara piliya rog ko aasaani se jhaada ja sakta hai.
(b) Vish Nivaran Mantra (Zehar Utarne Hetu): मंत्र : “ॐ पश्चिम-मुखाय-गरुडासनाय पंचमुखहनुमते नमः मं मं मं मं मं, सकल विषहराय स्वाहा ।” Is mantra ki jap sankhya 10 hazar hai, iski sadhana Deepawali ki arddh-ratri par karni chahiye. Yeh mantra vish nivaran mein atyadhik sahayak hai.
(c) Grah Dosh Nivaran Mantra: मंत्र : “ॐ उत्तरमुखाय आदि वराहाय लं लं लं लं लं सी हं सी हं नील-कण्ठ-मूर्तये लक्ष्मणप्राणदात्रे वीरहनुमते लंकोपदहनाय सकल सम्पत्ति-कराय पुत्र-पौत्रद्यभीष्ट-कराय ॐ नमः स्वाहा ।” Is mantra ka upyog Mahamari, amangal evam Grah dosh nivaran ke liye ekdam solid hai.
(d) Bhoot-Pret Dosh Nivaran Mantra: मंत्र : “ॐ श्री महाञ्जनाय पवन-पुत्र-वेशयावेशय ॐ श्रीहनुमते फट् ।” Yah mantra ka 75000 jaap ke baad dashansh hawan karke siddhi karle . Phir prayog karte samay hanuman ji ke dhyan karte hue sadhak ko Mayur pankh se jhaada lagana chhaiye . (Til, shakkar aur ghee se dashansh havan karein aur Shree Hanuman Ji ka pujan karein.)
(e) Udar Rog Dosh Nivaran Mantra : मंत्र : “ॐ यो यो हनुमंत फलफलित धग्धगित आयुराषः परुडाह ।” Ukt mantra ko pratidin 11 baar padhne se sab tarah ke pet ke rog shant ho jate hain.
Jhaada Mantra Health Ke Upar Sawal Jawab
Kya sach mein Jhaada Mantra Health problems ko theek kar sakta hai?
Ans: Bilkul 100% ji! Jab aap doctor ki dawai ke sath-sath in siddh mantron ka prayog karte hain, toh Jhaada Mantra Health dawai ke sath-sath dua ka bhi bahut badhiya kaam karta hai. Yeh jhaada mantra andar ki sakaratmak urja ko badhakar rogi ko bimari se mukt karne mein puri madad karta hai.
Acharya ji, kya main khud ghar par apne bacchon ko jhaada laga sakta hoon?
Ans: Dekho, chhota mota nazar utarne ke liye aap mor pankh se Hanuman Chalisa padhkar jhaada laga sakte hain. Lekin agar koi badi bimari hai ya serious problem hai, toh bina siddhi ke khud risk na lein. Iske liye hamesha kisi anubhavi guru ya Jyotishacharya ki hi madad lena uchit rahega.
Jhaada lagane ke liye hafte ka sabse badhiya din kaun sa hota hai?
Ans: Waise toh koi FIX din nahi hota hai. Jab musibat aaye tab bhagwan ka naam liya ja sakta hai. Par Mangalwar (Tuesday) aur Shaniwar (Saturday) Sankatmochan Hanuman Ji ke special din hain. In do dinon mein kiya gaya jhaada aur mantra jaap sabse jaldi aur tagda asar dikhata hai.
Agar aap swasthya sambandhit samasyaon ka jyotishiya ya tantrik samadhan dhoond rahe hain, to hamari Health Issues Category me diye gaye anya upay, mantra aur sadhana bhi jarur padhein, jahan vibhinna rogon ke satik aur prabhavshali samadhan bataye gaye hain.
To know more about Tantra & Astrological services, please feel free to Contact Us Jyotishacharya Pradip Kumar (Mo.) +91-9438741641 {Call / Whatsapp}