Kundli Vahan Yog Kya Hai aur Ye Kaise Kaam Karta Hai?
Pranam mere bhaiyon aur behno! Kaise hain aap sab? Aaj aapka ye Acharya Pradip Kumar, ek aisa vishay lekar aaya hai jo har insaan ka sapna hota hai. Arre bhai, aaj ke zamane mein kiske mann mein nahi hota ki uske darwaze par ek chamchamati gaadi khadi ho? Koi cycle se thak gaya hai, toh koi bike par dhoop kha-kha kar pareshan hai. Sab puchte hain—”Acharya ji, hamari kismat mein Kundli Vahan Yog kab banega?”
Suno dhyan se, jaise gaon mein bade-boodhe baith kar kissa sunate hain, waise hi main aapko bataunga ki upar wale ne aapki janmapatri mein gaadi ka pahiya likha hai ya nahi. Astrology koi jaadu-tona nahi, ye toh grahon ka ek aisa jod hai jo sahi samay par hi phaldahyak hota hai.
Kya Hota Hai Kundli Mein Vahan Yog?
Dekho bhai, kundli ka jo chautha bhav (4th House) hota hai na, wahi hamare sukh, suvidha aur vahan ka ghar hai. Agar wahan ka malik khush hai, toh samajho aapki garage mein gaadi pakki hai! Lekin sirf ghar dekhne se kaam nahi chalta, usme baithe grahon ki dosti aur dushmani bhi dekhni padti hai. 15 saal se zyada ho gaye mujhe kundliya dekhte hue, aur maine dekha hai ki kai baar sab kuch hote hue bhi gaadi nahi aati kyunki koi grah rasta rok kar baitha hota hai.
7 Secrets : Apni Kundli Mein Vahan Yog Pehchane
Chaliye, ab main aapko wo gupt baatein batata hoon jo maine apne jeevan ke tajurbe se seekhi hain:
1) Lagn aur Chauthe-Navam ka Rishta: Agar aapki kundli ke chauthe (4th) aur navam (9th) bhav ke swami jaakar seedhe ‘Lagn’ (pehle ghar) mein baith jayein, toh samajh lo Kundli Vahan Yog 100% banta hai. Ye log bade naseeb wale hote hain.
2) Guru Maharaj ka Chamatkar: Agar Devguru Brihaspati chauthe ghar mein baithe hon ya apni amrit mayi drishti wahan daal rahe hon, toh bhai aapke paas ek nahi, kayi vahano ka sukh hoga.
3) Shukra Dev ki Kripa: Shukra (Venus) toh vaise hi luxury ka devta hai. Agar chauthe ghar ka malik aur Shukra dono ek saath baith jayein, toh gaadi aane se koi nahi rok sakta.
4) Bade Gharon Mein Shukra: Agar chauthe bhav ka swami Shukra ke saath 9th, 10th ya 11th bhav mein baith jaye, toh naseeb khul gaya samajho!
5) Kark Lagn Walon ke Liye Special: Agar aapki kundli Kark (Cancer) lagn ki hai aur Budh-Shukra chauthe ghar mein hain, toh Budh ki dasha aur Shukra ki antardasha mein aapki nayi gaadi ka muhurat nikal jayega!
6) Bhav Parivartan (Gharon ki Badal-Badli): Agar 4th house ka malik 5th mein aur 5th ka 4th mein baith jaye, toh ye maharaj yog hai. Isse na sirf gaadi milti hai, balki bhagya uday bhi hota hai.
7) Bhagya aur Sukh ka Sangam: Isi tarah 4th aur 9th house ke malik agar aapas mein ghar badal lein (Sukh aur Bhagya ka milan), toh samajhiye aapka Kundli Vahan Yog aapko bahut unchai tak le jayega.
Agar aap kundli me banne wale sabhi shaktishali yog ke baare me detail me samajhna chahte hain, to hamari
Most Important Yoga category zarur dekhein.
Mere Anubhav Ki Baat: Cycle Se 26 Gaadiyon Tak Ka Safar
Suno bhai, ye koi kitabi baatein nahi hain. Mere paas ek baar ek ladka aaya tha. Bechaara 10 saal se purani khatara cycle chala raha tha. Na padhai mein mann lagta tha, na koi kaam-dhanda. Duniya use bekar samajhti thi, par jab maine uski kundli dekhi toh main hairan reh gaya!
Uski kundli mein Kundli Vahan Yog ke saath-saath ‘Vipreet Rajyog‘ active point par tha. Bas dikat ye thi ki Shani Dev ki drishti ne use block kar rakha tha. Maine use ek chota sa desi upay bataya aur Shukra ko majboot karne ki salah di.
Chamatkar dekho! 6 mahine ke andar usne apni ek Medicine Shop kholi. Fir car kharidi. Aur aaj? Aaj uske paas Bike aur Car milakar 26 vahano ka kafila hai! Bhale hi usne purani gaadiyon se shuru kiya, par naseeb dekho kahan se kahan pahunch gaya. Ye mere hi gaon ki 100% sachi baat hai.
Agar aapko bhi janna hai ki aapki kismat mein raja banne wale yog hain ya nahi, toh mera ye khas article zaroor padhein: Panch Maha Purusha Yoga: Kundli Mein Raja Banne Ke 5 Shubh Yog.
Aksar Puche Jane Wale Sawal
Q: Kya Shani Dev gaadi lene mein rukawat dalte hain?
A: Haan bhai, agar Shani ki drishti kharab hai toh deri ho sakti hai, par sahi upay se rasta khul jata hai.
Q: Kaun sa grah sabse zyada zaruri hai gaadi ke liye?
A: Sabse bada khiladi ‘Shukra‘ hai. Bina Shukra ki kripa ke Kundli Vahan Yog phal nahi deta.
Q: Kya purani gaadi lena sahi rehta hai?
A: Ye aapke 8th house par depend karta hai. Agar wo mazboot hai toh purani gaadi bhi naseeb chamka deti hai.
Q: Gaadi kis rang ki leni chahiye?
A: Ye aapke lagn aur rashi ke hisab se taya hota hai. Galat rang aksar accident ka karan banta hai.
Q: Kya tantra se gaadi ka yog banaya ja sakta hai?
A: Tantra un rastaon ko saaf karta hai jo grahon ne block kiye hain, jisse aapka soya hua bhagya jaag uthta hai.
Doston, astrology sirf sitare dekhna nahi, unki chaal samajhna hai. Agar aap bhi apni kundli dikhana chahte hain ya koi pareshani hai, toh hichkichao mat. Main yahan Odisha mein baitha hoon aapki madad ke liye.
Acharya Pradip Kumar (Vedic Astrologer & Tantra Expert)
Mob: +91-9438741641 (Call/Whatsapp)
Location: Tangi, Khurda, Odisha