Kutte Zahar Mantra: Kutte Ke Kaatne Par Vish Utarne Ka Shabar Mantra (Tantrik Upay)

Kutte Zahar Mantra: Kutte Ke Kaatne Par Turant Asar Karne Wala Desi Tantrik Ilaj!

Namaskar Dosto! Swagat hai aapka Mystic Shiva Astrology ke is naye post par. Main Acharya Pradip Kumar, pichle 15+ saalon se Vedic Astrology aur Tantra ke zariye koshish kar raha hoon ki aapki zindagi ki har pareshani ka sateek aur desi samadhan de sakun.

Aaj kal gali-mohalle ya gaon-dehat mein awara kutton ka aatank kitna badh gaya hai, yeh toh aap jante hi hain. Agar galti se koi pagal kutta kaat bhi le, toh rabies ka darr aur sharir mein vish (Poison) phailne ki tension dimaag kharab kar deti hai. Hospital bhaagna aur medical ilaj karwana toh sabse zaroori hai hi, lekin hamare prachin tantra shastra mein ek aisa chamatkari Kutte Zahar Mantra hai, jo shareer mein phailte vish ki kaat karne aur Ghabrahat ko minto mein shant karne ke liye ekdum rambaan jaisa hai.

Yeh ek vish utarne ka shabar mantra hai, jiska tantrik jhaada lagate hi asar dikhna shuru ho jata hai. Niche woh gupt mantra aur uski sateek vidhi bata raha hoon, jarur padhiye …:

Kutte Ka Zahar Utarne Ka Mantra :

मंत्र : “ॐ हसन हंसनी, कूकुर पलानी। खाट में लोटे। बाट में भूंकै, आउ –आउ सिद्ध यती। शव्द सांचा, फुरो मंत्र, ईश्वरो बाचा।”

Kutte Ka Zahar Utarne Ka Mantra Vidhi :

Mantra ka siddhi hetu , aap Holi, Diwali ka kaal ratri me ya phir Grahan kaal ki samay me mantra ka 11 maala jaap karke siddhi kar sakte ho . Prayog keliye aap Ravivaar ya phir Mangalbaar ka din chun sakte ho .


Mere Anubhav Ki Baat 

Aapko Odisha ke ek chhotisi gaon ghatna batata hoon. Ek 6/7 saal ka bacha apne mata pita ke saath ek gaon ka Math (Ashram) ko gaya tha . Jab uska mata pita apne Guruji ke saath baat kar rahe the , yeh bacha aaspaas me khelne laga tha . Khelte khelte is bache ki nazar ek chote se kutte par padh gayi . Yh chhota sa bacha tha to wo chhoti kutte ko pakadkar khelne laga . Wanha wo kutte ka maa ne achanak daud ke aakar ye bache ko buri tarah kaat liya . Gaon se bada hospital lagbhag 30-40 kilometer door tha aur bacha darr ke mare behosh hone ki halat mein aa gaya tha. Uske pitaji bahut ghabra gaye aur Ashram ke pandit ji se haath jod kar bache ki jaan ko bachane keliye unke paer me gir pade.

Wanha ke Pandit ji Kutte Zahar Mantra se kisi kori seenk (nayi jhaadu ki tili) se bachhe ke ghaav ke upar jhaada lagana shuru kar diye .

Yakeen maniye dosto! Jaise-jaise mantra padhkar jhaada lagaya gaya, bachhe ki saansein normal hone lagi aur vish ka asar wahin utar gaya. Wanha se normal hone k baad, Jab wo hospital pahuche, doctor bhi dang the ki itne khatarnak dog bite ke baad bhi bacha itna shant aur stable kaise hai. Injection aur medical ilaj apni jagah hai, par us din is prachin tantra vigyan ne us bachhe ke andar zeher ko phailne se rok diya. Yeh hoti hai hamare shabar mantra aur asli takat!

Dosto, jaise shabar mantra se kutton ka zahar utara ja sakta hai, theek waise hi bina plaster tuti hui haddi ko jaldi jodne ka bhi ek gupt tantrik upay hai. Zaroor padhein: [Tuti Haddi Mantra: Shabar Mantra Se Haddi Jodne Ka Upay]


Kutte Zahar Mantra ke upar Sawal Jawab 

1: Guru ji, kya sach mein yeh Kutte Zahar Mantra turant asar karta hai?

Ans: Bilkul 100% sateek kaam karta hai bhai! Agar kisi siddh sadhak ne ya aapne khud ise grahan kaal mein siddh kiya hai, toh yeh kutte ke katne ka gharelu mantra upay ekdum miracle ki tarah vish ko aage phailne se rok deta hai.

2: Yeh ‘Kori Seenk’ kya hoti hai jisse jhaada lagana hai?

Ans: Kori seenk ka matlab hota hai nayi jhaadu ki tili (seekh) jiska pehle kabhi jhadu lagane ke liye istemal na kiya gaya ho. Usi se jhaada lagane par is ilaj ka poora asar milta hai.

3: Kya doctor ke ilaj ke sath is vish utarne wale mantra ka prayog kar sakte hain?

Ans: Haan, bilkul! Yeh jhaada mantra aur medical cheup-up dono milkar patient ko jaldi theek karte hain. Safety keliye Rabies Injection to zaroor lagwayein, lekin sath mein is shabar mantra ka jhaada vish ke asar aur rabies ke darr ko jad se khatam karne mein bahut madadgar hota hai.

Agar aap swasthya sambandhit samasyaon ka jyotishiya ya tantrik samadhan dhoond rahe hain, to hamari Health Issues Category me diye gaye anya upay, mantra aur sadhana bhi jarur padhein, jahan vibhinna rogon ke satik aur prabhavshali samadhan bataye gaye hain.


Jyotishacharya Pradip Kumar (15+ saal ka Vedic Astrology aur Tantra Anubhav)

Har samasya ka sthayi aur 100% samadhan ke liye aaj hi sampark karein: (Mo.) +91-9438741641 {Call / Whatsapp}

Acharya Pradip Kumar is the founder of Mystic Shiva Astrology and a practitioner of Vedic astrology with a solution-oriented approach. His work focuses on understanding birth charts as tools for clarity, awareness, and practical decision-making rather than fear-based predictions. Rooted in classical astrological principles and real-life experience, he emphasizes responsible guidance, timing, and conscious remedies aligned with an individual’s life path.

Leave a Comment