Panch Maha Purusha Yoga Kya Hai? (Asli Vedic Pehchan)
Pranam mere bhaiyon aur behno! Acharya Pradip Kumar, aap sabka swagat karta hoon. Aaj jo baat main aapko batane wala hoon na, wo koi kitabi gyan nahi hai, balki mere 15 saal ka wo anubhav hai jo maine Gaon-Gaon ghoomkar aur hazaron kundliyaan dekhkar kamaya hai.
Suno dhyan se! Kya aapne kabhi socha hai ki kuch log mitti ko chhoote hain toh sona ban jata hai, aur kuch bechare din-raat pasina bahate hain phir bhi thali khali rehti hai? Bhai, ye sab khel hai Panch Maha Purusha Yoga ka! Agar aapki kundli mein in Paanchon mein se ek bhi yoga balwan hokar baith gaya na, toh samajho upar wale ne aapki lottery laga di hai.
Chalo, aaj bacchon ki tarah saral bhasha mein samjhata hoon ki ye yoga hote kya hain aur ye kaise kaam karte hain. Doston, Panch Maha Purusha Yoga toh shubh grahon ka khel hai, par kya aap jaante hain ki kabhi-kabhi kundli ke bure ghar bhi aapko raja bana sakte hain? Agar aapki kundli mein ye 5 yog nahi hain, toh ho sakta hai wahan Vipreet Rajyoga ban raha ho, jo dukh se sukh nikalne ki takat rakhta hai.
1. Panch Maha Purusha Yoga: Hansa Yoga Se Devguru Ka Aashirwad
Sabse pehle baat karte hain Panch Maha Purusha Yoga ke sabse pavitra yoga ki—Hansa Yoga. Jab Guru (Jupiter) apni khud ki rashi (Dhanu ya Meen) mein ho ya apni uchchh rashi (Kark) mein hokar kundli ke kendra (1, 4, 7, 10 ghar) mein baith jaye, toh banta hai Hansa Yoga.
Jiske paas ye yoga hai, wo banda koi mamuli insaan nahi hota. Wo sakshat raja ki tarah jeeta hai. Uske shareer par shankh, kamal aur machhli ke nishan hote hain—ye main nahi, hamare purane rishi-muni keh gaye hain. Aisa vyakti Dharam-Karam ko manne wala aur bahut hi sundar shareer wala hota hai. Log usse milte hi uske fan ho jate hain.
Mera Real life ka Anubhav : Mere paas ek bechari ladies aayi thi .Ye case 7/8 saal k baat ki hai. Bhai, us beti ki aankhon mein jo aansu the, wo kaleja cheer dene wale the. Shaadi ke sirf 20/25 din hue aur pati ne mann-mutav mein ghar se nikaal diya. Duniya taane de rahi thi . Jis wajah se wo kafi pareshan thi. Maine jab us beti ki kundli kholi, toh dekha Chauthe ghar mein Devguru Brihaspati apni uchchh rashi mein viraajmaan thhe. Maine turant kaha—’Are beti, tu kyun roti hai? Jiske sar par Guru ka haath ho, uska koi baal banka nahi kar sakta! Aaj wahi beti ‘Best Dancer’ ke naam se poore Odisha mein jaani jaati hai. Bhai, grah jab deta hai na, toh chappar faad kar deta hai! Bas sahi samay ka intezaar tha!
2. Panch Maha Purusha Yoga: Bhadra Yoga aur Budh Ki Chaturayi
Ab aao Bhadra Yoga par baat karte hain. Ye banta hai Budh (Mercury) se. Jab Budh apne ghar (Mithun ya Kanya) mein kendra mein ho, toh ye yoga chamakta hai. Aisa insaan dimaag ka itna tez hota hai ki samne wale ki baaton se hi uska kachumar nikal de ! शेर (Lion) jaisa chehra, chauda seena aur doston-rishtedaron ki madad karne wala dil. Inki umar lambi hoti hai aur buddhi toh aisi ki computer bhi fail ho jaye.
3. Panch Maha Purusha Yoga: Ruchak Yoga aur Mangal Ka Parakram
Agar Mangal (Mars) apni rashi (Mesh ya Vrishchik) ya uchchh rashi (Makar) mein kendra mein ho, toh banta hai Ruchak Yoga. Ye yoga unke liye hai jo darna nahi jaante. Aise log Army ke leader, bade Police Officer ya bahut bade Khiladi bante hain. Inka shareer lohe jaisa mazboot hota hai aur ye hamesha paramparaon ka samman karte hain. Dhan-daulat inke peeche-peeche bhagti hai.
4. Panch Maha Purusha Yoga: Malavya Yoga Se Luxury Life
Bhai, aaj kal kisko Gaadi-Bangla nahi chahiye? Ye sab deta hai Shukra (Venus) ka Malavya Yoga. Jab Shukra Vrishabh, Tula ya Meen rashi mein hokar kendra mein baithta hai, toh insaan ko har sukh-suvidha milti hai. Achhi patni, Pyare bacche, aur badhiya gaadi—sab kuch! Aisa vyakti dikhne mein bahut attractive hota hai aur uski baaton mein ek alag hi nasha hota hai.
5. Panch Maha Purusha Yoga: Sasa Yoga aur Shani Ka Nyay
Log Shani se darte hain, par main kehta hoon Shani se dosti karo! Jab Shani (Saturn) Makar, Kumbh ya Tula rashi mein kendra mein ho, toh banta hai Sasa Yoga. Aisa vyakti kisi Gaon ya Shehar ka mukhiya banta hai. Inke paas naukar-chakar ki line lagi rehti hai. Haan, thoda tedha swabhaav ho sakta hai, par kismat inka saath kabhi nahi chhodti.
Jaise Shani Dev ka Sasa Yoga insaan ko rrank se raja banata hai, waise hi kundli ke kuch ‘VIP’ (Vipreet) yog bhi hote hain. Agar Shani ya koi aur paapi grah galat ghar mein baith kar aapko pareshan kar raha hai, toh ho sakta hai wahan koi bada khazana chupa ho. Asli sach janne ke liye padhein: Vipreet Rajyog Kundli ka Chamatkar.
Meri khud ka Anubhav : Ek baar mere paas ek Naujawan aadmi aaye the , uske paas cycle tak nahi thi. Maine dekha uski kundli mein Shani Dev 10th house mein Tula rashi (Uchchh) mein baithe the—jo kundli me Sasa Yoga create kar rahe the ! Par Rahu ki drishti ki wajah se wo block tha. Maine usse ek chhota sa tantrik upay karwaya saath saath bhagya jagane ki upay bhi batayi thi , jisse bhagya chamak ne ke saath saath Shani Dev ki shanti ka bhi wo upay se ho gaya tha .
Doston, vishwas nahi karoge, 3 saal ke andar wo ladka apni khud ki transport company chala raha hai ! Ye hota hai grahon ka khel jab wo sahi dasha mein aate hain.
Agar aap kundli me banne wale sabhi shaktishali yog ke baare me detail me samajhna chahte hain, to hamari
Most Important Yoga category zarur dekhein.
Panch Maha Purusha Yoga Se Jude Sawal aur Mere Jawab
Q1: Kya ye yoga sabki kundli mein hote hain? Jawab: Nahi , ye yoga bahut durlabh hain. Karodon mein kuch logon ki kundli mein ye poore bal ke saath hote hain.
Q2: Agar yoga hai par phal nahi mil raha toh? Jawab: Iska matlab grah ‘mrit’ (Dead) avastha mein hai ya uspar kisi paapi grah ki nazar hai. Iske liye sahi tantra upay ki zaroorat hoti hai.
Q3: Kya ek kundli mein ek se zyada yoga ho sakte hain? Jawab: Bilkul! Lord Krishna ki kundli mein toh kai Maha Purusha yoga ek saath the. Jitne zyada, utna bada rajyoga!
Q4: Kya Sasa Yoga hamesha bura phal deta hai? Jawab: Arre nahi! Shani Dev Nyaypriya hain. Sasa yoga wala vyakti zameen se juda rehta hai aur bahut bada naam kamata hai.
Q5: Kaun sa yoga sabse zyada paisa deta hai? Jawab: Shukra ka Malavya aur Guru ka Hansa yoga dhan ke maamle mein sabse top par hain.
Mere bhaiyon, kundli mein Panch Mahapurusha Yoga hona ek baat hai, par usse jagana dusri baat. Jaise bina chaabi ke tala nahi khulta, waise hi bina sahi gyan aur upay ke kismat ka darwaza nahi khulta.
Agar aapko bhi apni kundli dikhani hai ya tantra se judi koi madad chahiye, toh sankoch mat karo. Tumhara ye bhai hamesha tumhare saath hai.
Acharya Pradip Kumar (Vedic Astrologer & Tantra Expert)
Mob: +91-9438741641 (Call/Whatsapp)