Pet Dard Hanuman Mantra: Purani Se Purani Pet Ki Bimari Ko Jad Se Khatam Karne Ka Gupt Rahasya

Pet Dard Hanuman Mantra: Bhayankar Peeda Ka Turant Ilaaj

Namaskar mere Dosto! Main, Acharya Pradip Kumar, aaj phir se aapse jud raha hoon ek aisi samasya ko lekar .Aajke samay me dekha jaye to, har teesra aadmi Pet samasya ko lekar pareshan hai . Aaj kal ka khaan-paan aisa ho gaya hai ki chhote chhote bache bhi yeh samasya me grasit hain. Gas, Acidity, aur achanak uthne wala bhayankar pet dard aam baat ho gayi hai.

Kafi medicine khaane ki baad bhi aapka Pet Dard (stomach ache) ka samasya kam nhi ho raha hai to , Shastro me likha gaya kuchh anubhut mantra upay hai jo Bhakt raj Hanuman se jadit hai . Aaj main aapko bataunga wo chamatkari Pet Dard Hanuman Mantra jiska niyamit jaap karne se udar peeda se hamesha hamesha ke liye chhutkara mil sakta hai.

Udar Peeda Nivarak Hanuman Mantra

Dosto, Kuchh aisa niyam hai . Jab bhi aap koi bhi mantra ka paath karte hai to Puri Shraddha Bhakti Bhav se Kar liya karo , taki bhakt ka bhav aur bhakti se bhakt ko Siddhi prapt milta hai. Sankatmochan Hanuman ji par poora vishwas rakh kar agar aap is mantra ko paath karenge , toh chamatkar aap khud dekhenge. Udar peeda se raksha ke liye hamare tantra aur shastron ka yeh sabse prabhavi Hanuman mantra hai:

मंत्र – “जो जो हनुमंत धगधजित फलफलित आयुराष: खरूराह”

Mantra Prayog Ki Vidhi: Kaise Karein Yeh Ilaaj?

Bhaiyo, yeh mantra ek rambaan ki tarah asar karta hai. Udar se sambandhit kisi bhi tarah ki pida kyun naa ho, mantra ka path ki prabhav se rogi ko turant iska prabhav dikhne ko milta hai . Agar koi gambhir pet janit bimari se hai to , mantra ka prabhav se 24 ghante ki ander ander sthiti me santoshjanak sudhaar dikhne ko milta hai.

Yeh prayog rogi ke poori tarah theek hone tak daily do baar karna chahiye. Iske prayog ke liye nimn do pramukh vidhiyan hain. Aap apni suvidhanusar inme se koi ek prayog kar sakte hain:

Pehla Tarika (Haath Pherna): 108 baar is mantra ka jaap karte hue, rogi ke pet ke upar se niche ki taraf halke se haath pherna chahiye . Isse negative urja aur udar peeda dono nasht hota hai.

Dusra Tarika (Abhimantrit Jal): Kisi ek Tambe yani Copper ki bartan me Jal le lijiye , usme thoda Ganga Jal milakar rakhein. Phir iske samne baithkar 108 baar mantra ka jap kar is paani ko abhimantrit (Energize) karein. Iske baad yeh pavitra jal rogi ko pilayen.

Yah bhi Padhein : Malaria and Pari Jwar Nashak Tantra


Mera Anubhav ki Baat 

Pichle saal ki baat hai, Delhi se ek bhakt mere paas pareshan hokar samprk kiye . Problem yeh tha ki Unki ek 14 saal ki beti thi jinka naam Roji. (Yanha Privacy keliye naam change rakha gaya hai) . Roji bhayankar udar peeda (Stomach pain) se pareshan thi . Inka treatment wanha ek private Hospital me ho raha tha . Hospital me saare Ultrasound aur kai physical test bhi karwaye . Lekin saare ke saare reports normal aayin! Doctor bhi confuse the ki aakhir is dard ka kaaran kya hai.

Unka poora parivar bohot tension mein the. Jab unhone mujhse sampark kiye, toh maine situation ko deeply samjha, unka janm kundli bhi dekha to saamne aaya 6th house ka swami grah k dasha chal raha hai , or 6th house ki ghar ke upar rahu ka najar hai . Jiske wajah se report bhi normal hai bt Patient ka case critical hote jaa raha hai. Bt isi samay me mujhe kuchh particular solution dikhai nhi diya  , pehele situation ko control karne keliye Hanuamn ji ke Mantra ka sahara lena pada . Maine unhe turant sankalp lekar is Pet Dard Hanuman Mantra se Ganga jal ko abhimantrit karke beti ko pilane keliye de diya . Sath hi, unke mata ji ko pet par hath pherte hue mantra jaap karne keliye puri vidhi bhi samjha diya .

Aur dosto, aap yakeen karein ya na karein, Hanuman ji ki aisi kripa hui ki sirf 2 ghante ke andar us bachi ka dard 80% tak gayab ho gaya! Agle 24 ghante tak unhone din mein do baar yeh prayog kiye the to 3 din me 100% pet dard gayab. Isme kya hai ..sirf bhakt ka bhakti hi kaam me aata hai .

Mere dosto, jis tarah Hanuman ji ka yah mantra Pet Dard ko jadse thik karta hai, usi tarah jeevan mein aayi hui Achanak bimari, Ghar ka kalesh, ya kismat saath naa dena jaise samasya ko jad se ukhad phekne ke liye hamare tantra shastra mein ek atyant prabhavshali sadhana batayi gayi hai. Agar aap apne jeevan ki kisi bhi badi rukawat ka ek 100% ‘Rambaan’ samadhan chahte hain, toh mera yeh khaas article zaroor padhein:  [Ajaypal Mantra Sadhana: Har Samasya Ka Rambaan Tantrik Upay aur Siddhi Vidhi]


Pet Dard Hanuman Mantra Par Sawal Jawab 

Q1. Acharya ji, kya yeh Pet Dard Hanuman Mantra gas aur acidity jaisi aam samasyaon mein bhi kaam karta hai?

Jawab: Haan mere bhai! Udar peeda chahe Gas ki wajah se ho, Apach (indigestion) ki wajah se, ya kisi nazar dosh ke karan, Sankatmochan Hanuman ji ka yeh mantra har tarah ki stomach pain samasyaon mein 100% sateek asar dikhata hai. Bt Dhyan dena ..aajkal market me aap roz fast food ka sewan karoge upar se Hanuman ji ka mantra path karoge ….to kya fyda hai . Pehele Sat karm karo aur sath me Satvik khana grahan karo phir koi bhi mantra ka shraddha bhakti se karoge to wo 100% aapka saath dega.

Q2. Mantra ka jaap karne ke liye kya kisi vishesh din ya samay ki urat hai?

Jawab: Waise toh koi muhurt nhi hai , Sankatmochan hanuman ji ka dhyan bhajan kirtan ya naam jaap koi bhi samay me kar sakte ho . Parantu agar marij bhayankar peeda mein hai toh turant iska jaap shuru kar sakte hain. Subah aur sham (Sandhya kaal) mein poori shraddha ke sath iska 108 baar jaap sabse zyada shaktishali result deta hai.

Q3. Kya main apne bache ke liye khud is mantra ko padh kar paani pila sakti hoon?

Jawab: Bilkul kar sakte ho! Ek maa ki shraddha aur Bajrangbali ka aashirwad ek sath mil jaye toh koi bhi aanto ki sujan ya bimari tik nahi sakti. Aap khud 108 baar Pet Dard Hanuman Mantra padh kar jal ko abhimantrit karein aur apne bache ko pilayen, turant labh milega.

Agar aap swasthya sambandhit samasyaon ka jyotishiya ya tantrik samadhan dhoond rahe hain, to hamari Health Issues Category me diye gaye anya upay, mantra aur sadhana bhi jarur padhein, jahan vibhinna rogon ke satik aur prabhavshali samadhan bataye gaye hain.


Jyotishacharya Pradip Kumar (15+ Saal ka Vedic Astrology aur Tantra Anubhav )

Agar aap ho ya aapka koi apna kisi aisi lambi bimari, udar peeda ya rahasyamayi pareshani se joojh raha hai toh nirash na hon.

Har samasya ka sthayi aur 100% samadhan ke liye aaj hi sampark karein: +91-9438741641 {Call / Whatsapp}

Acharya Pradip Kumar is the founder of Mystic Shiva Astrology and a practitioner of Vedic astrology with a solution-oriented approach. His work focuses on understanding birth charts as tools for clarity, awareness, and practical decision-making rather than fear-based predictions. Rooted in classical astrological principles and real-life experience, he emphasizes responsible guidance, timing, and conscious remedies aligned with an individual’s life path.

Leave a Comment