Rog Mukti Mantra: Mahabali Hanuman Ji Ka Chamatkari Shabar Mantra
Namaskar Dosto! Swagat hai aap sabhi ka aapke apne Mystic Shiva Astrology manch par. Main aapka apna Acharya Pradip Kumar, pichle 15+ saalon se Vedic Jyotish aur Tantra shastra ke madhyam se aapka margdarshan karta aa raha hoon.
Aaj kal ki life mein, khan-pan aur mahol itna kharab ho gaya hai ki har ghar mein koi na koi beemar pada hi rehta hai. Kai baar toh aisi ajeeb bimari lag jati hai jiska pata bade-bade doctor aur unki mehangi MRI, blood reports mein bhi nahi nikalta. Dawaiyaan kha-kha kar insaan ka sharir chhalni ho jata hai, par aaram nahi milta. Agar aapke ya aapke parivar ke sath bhi aisa ho raha hai ki doctor aur vaidya ki saari dawaiyan asar karna band kar chuki hain, toh samajh lijiye ki dikkat sirf sharirik nahi, balki Negative energy ya buri nazar ki hai.
Aise sankat ke samay mein hamare prachin shabar mantra Rocket ki tarah kaam karte hain. Aaj main aapko Bajrangbali ka ek aisa hi gupt aur 100% asardaar Rog Mukti Mantra batane jaa raha hoon, jiske prabhav se purani se purani bimari jad se ukhad jayegi!
Rog Mukti Ke Liye Mantra :
मंत्र : “जै जै गुणबन्ती बीर हनुमान, रोग मिटे और खिले खिलाब, कारज पूरण करे पबन सुत, जो न करे मां अंजनी की दुहाई, श्वद सांचा पिण्ड काचा, फुरो मंत्र ईश्वरो बाचा।।”
Rog Mukti Ke Liye Mantra Vidhi :
Dhyan se suniye dosto, is rog nashak mantra ka prayog us sthiti mein karna sabse sateek rehta hai jab kisi bimari ke baare mein pata hi na chal raha ho, ya doctor-vaidya kisi ki dawai ka ilaj safal na ho raha ho. Is shabar mantra ka asar kuch hi dino mein dikhne lagta hai aur rogi ko apne kasht se mukti milne lagti hai.
Sateek Vidhi: Kartik maas (mahine) ke kisi bhi Mangalvaar (Tuesday) ke din, ek taambe (copper) ke glass mein peene wala saaf paani bhar lein. Ab usme ‘Chirmi’ (Gunja) ke teen (3) daane daalein. Glass ko apne samne rakh kar, poore vishwas ke sath upar diye gaye Rog Mukti Mantra ka 108 baar jaap karein.
Jaap poora hone ke baad, un chirmi ke daano ko glass se nikaalein aur rogi ke charo taraf (Sarr se lekar paer tak) 7 baar utara (nazar utarna) karein. Utara karne ke baad un daano ko Dakshin (South) disha mein kisi sunsaan jagah par phenk dena. Bacha hua abhimantrit paani rogi ko pila dijiye. Yeh ek aazmaya hua health problem solution hai. Ise jan kalyan ke liye pure vishwas se prayog karein to laabh hi laabh .
Mere Anubhav Ki Baat
Aapko ek asli ghatna batata hoon jo pichle saal ki hi baat hai. Rourkela ke kotila Nagar ki Suresh ji mere paas aaye the. Unki patni pichle 6 mahine se bed par thi. Unka sharir sukh kar kaanta ho gaya tha, achanak se tej bukhar aata aur sarr me bhayankar dard rehta tha. Doctor ki saari reports normal thi, lekin unki bimari theek hone ka naam nahi le rahi thi. Lakhon rupaye dawaiyon me paani ki tarah beh gaye par koi fayda nahi hua.
Jab wo pareshan hokar rote hue mere paas aaye, toh maine unki sthiti dekh kar samjha ki yeh koi aam samasya nahi hai. Maine unhe turant yahi Rog Mukti Mantra aur iski taambe (Copper) ke glass wali sateek vidhi batayi. Unhone mangalvaar ko poore niyam aur vishwas ke sath is bimari dur karne ka mantra ka prayog apni patni par kiye.
Yakeen maniye dosto! Mahabali Hanuman ji ki aisi kripa hui ki tisre hi din se unki patni ne bed se uthkar khud khana manga. Matra 15-20 din ke andar unka sharir pehle jaisa swasth hone laga aur jo dawaiyan beasar thi, unhone bhi asar karna shuru kar diya. Yeh hoti hai hamare prachin mantra tantra ki upar aapke sachi shraddha ki takat!
Sharir Ki Kamjori Aur Thakan Ke Liye Ek Aur Gupt Upay… Dosto, lambi bimari ke baad aksar sharir mein bhari thakan aur kamjori feel hone lagta hai. Agar aapki bhi yahi samasya hai, toh Bajrangbali ka yeh chamatkari shabar mantra aapke andar minto mein nayi urja bhar dega. Padhne ke liye yahan click karein: [Weakness Dur Mantra: Sharirik Kamjori Aur Thakan Dur Karne Ka Hanuman Shabar Mantra]
Rog Mukti Mantra Ke Upar Sawal Jawab
1: Guru ji, kya sach mein yeh Rog Mukti Mantra kisi bhi bimari mein kaam karta hai?
Ans: Bilkul 100% kaam karta hai bhai! Agar aapko dawai lagna band ho gayi hai ya report mein kuch nahi aa raha, toh is Rog mukti upay se negative energy door hoti hai aur medical ilaj ki (Dawai) apna asar dugni tezi se dikhane milta hai.
2: Chirmi (Gunja) ke daane kahan milenge aur yeh dikhne mein kaise hote hain?
Ans: Chirmi ke daane lal aur kaale (red & black) rang ke hote hain aur kisi bhi puja path ya tantra samagri ki dukan par asani se mil jate hain. Yeh sari bimari dur karne ka mantra chirmi ke bina adhoora hai, isliye iska prayog zaroor karein.
3: Kya is mantra ka prayog sirf Kartik maas mein hi kar sakte hain?
Ans: Shabar tantra ke anusaar iski shuruwat Kartik maas ke mangalvaar ko karna sabse shreshth aur asardaar hota hai. Lekin agar emergency ho aur aap turant is health problem remedy ka labh uthana chahte hain, toh aap kisi sarvarth siddhi yog ya grahan kaal mein bhi iska anushthan kar sakte ho.
Agar aap swasthya sambandhit samasyaon ka jyotishiya ya tantrik samadhan dhoond rahe hain, to hamari Health Issues Category me diye gaye anya upay, mantra aur sadhana bhi jarur padhein, jahan vibhinna rogon ke satik aur prabhavshali samadhan bataye gaye hain.
Jyotishacharya Pradip Kumar (15+ saal ka Vedic Astrology aur Tantra Anubhav)
Har samasya ka sthayi aur 100% samadhan ke liye aaj hi sampark karein: (Mo.) +91-9438741641 {Call / Whatsapp}