Tuti Haddi Mantra: Chamatkari Shabar Mantra Se Haddi Jodne Ka Desi Tantrik Upay!
Namaskar Dosto! Swagat hai aapka Mystic Shiva Astrology mein. Main Acharya Pradip Kumar, pichle 15+ saalon se Vedic Astrology aur Tantra ke madhyam se apne yajmanon ki har choti-badi samasya ka samadhan karne ka prayas kar raha hun.
Aaj kal ki samay me chot lagna ya haddi ka toot jana (fracture) aam baat ho gayi hai. Medical mein plaster karna aur pain-killers dena toh hota hi hai. Lekin dawai ka asar khatam hote hi haddi (bones) ke andar meetha-meetha chuvne wala dard aur sujan hoti rahti hai, uska ilaj modern medical science ke hisab se 2/3 mahine tak lamba chalta hai. Aise mein hamare prachin tantra shastra mein ek behad shaktishali Tuti Haddi Mantra dekhne ko milta hai, jo ekdum miracle ki tarah tutti haddi ko joint karne aur dard mein raahat dilane mein kargaar sabit hua hai! Yeh ek aisi prachin mantra vigyan hai, jiska ilaj minto mein shuru kar dete hain.
Niche main aapko woh gupt jadui mantra aur uski sateek vidhi bata raha hoon:
Tuti Haddi Jodane Ka Mantra :
मंत्र : ” हाड जोडो, मॉस काढो । रकत करो पानि , सोने की चिड़िया । रूपे के पंख ,पच जाय सूज । दोहाई ईश्वर महादेब , गौरा पार्बती की ।।”
Tuti Haddi Jodane Ka Mantra Vidhi :
Is mantra ki siddhi hetu, sadhak Grahan kaal ya phir kisi siddhi yog mein is mantra ka yatha shakti jaap karke siddhi kar le. Phir daily is mantra ki 5 mala ka jaap 21 din tak lagatar karein. Prayog ke samay sarson ke tel (mustard oil) mein sendha namak milaakar 108 baar is mantra se us tel ko abhimantrit karein. Phir tute hue sthan ke upar halke haath se maalish karne se tuti hui haddi apni position pakad leti hai aur suja hua ang theek ho jata hai.
Mere Anubhav Ki Baat –
Aapko ek asli ghatna batata hoon. Lagbhag 5-6 saal pehle ki baat hai, Ranpur (Odisha) ke jungle aur adivasi area mein ek bujurg aadmi (jinki umar lagbhag 70 saal thi) tuti haddi jodne ke liye bahut famous the.
Mera ek dost Puneet ji ka bike se accident ho gaya aur unke pair ki haddi buri tarah toot gayi. Doctor ne plaster toh chadha diya, par unka dard aur sujan kam hone ka naam hi nahi le rahi thi. Wo bed par pade-pade pareshan ho chuke the. Jab unki family ne mujhse sampark kiya, toh maine direct unhe us adivasi ilake ka address diya aur khud dosto ko lekar wahan pahuncha.
Maine unhe wahan pahunchaya aur turant unka ilaaz is Tuti Haddi Mantra se shuru hua. Pehle hi din dard mein thoda bahut fark dikhne laga! Jaise-jaise 3 din beeta aur dubara us abhimantrit tel se massage ki gayi, unka dard puri tarah theek hone laga. Maine jab un bujurg se pucha ki aapne kis mantra se jhaada lagaya aur Massage kiya, toh unhone mujhe yahi asardaar mantra bataye. Yeh tha haddi jodne ka shabar mantra ka powerful upay.
Yakeen maniye dosto, lagatar malish aur mantra ke prabhav se matra 10-15 din mein Puneet ka dard chhu-mantar ho gaya! Jab unke pair ka x-ray hua, toh doctor bhi dang reh gaye ki itni tezi se recovery kaise hui! Yeh hoti hai hamare deshi aur prachin tantra-mantra ki asli takat.
Ye bhi Padhiye : Jhaada Mantra Health: Bimariyon Se Mukti Ka Prachin Upay
Tuti Haddi Mantra ke Upar Sawal Jawab-
Kya sach mein yeh Tuti Haddi Mantra jaldi kaam karta hai?
Ans. Bilkul 100% kaam karta hai bhai! Agar aap pure vishwas aur sahi vidhi ke sath is mantra ka jaap karke tel lagayenge, toh haddi judne ki speed dugni ho jayegi aur dard toh aise bhagega jaise kabhi tha hi nahi.
Kya main ghar par khud is haddi dard ka mantra ko siddh kar sakta hu?
Ans. Haan, bilkul. Par dhyan rahe ki Grahan kaal ya kisi sarvarth siddhi yog mein hi iski shuruaat karni chahiye. Siddhi ke baad mantra ka dasmaansh hawan karna bhi bahut achha rahega.
Tel kaun sa use karna hai is bone healing mantra ke sath?
Ans. Hamesha kadwa tel yani pure kacchi ghani sarson ka tel (Mustard oil) hi lena hai. Isme sendha namak ko milakar abhimantrit karne ke baad hi prayog mein lena chahiye.
Agar aap swasthya sambandhit samasyaon ka jyotishiya ya tantrik samadhan dhoond rahe hain, to hamari Health Issues Category me diye gaye anya upay, mantra aur sadhana bhi jarur padhein, jahan vibhinna rogon ke satik aur prabhavshali samadhan bataye gaye hain.
Anubhav se Judi Ek Aur Baat…
Dosto, Tantra shastra ka ek aur chamatkar ‘Bhut-Pret Jwar’ (Ghost Fever) ki upar dekhne ko milta hai. Kai baar Medicine kaam nahi karti, sabhi reports normal aati hain par sharir ka bukhaar utarne ka naam hi nahi leta. Is bimari ke baare mein aur iske 6 achook tantrik upayon ke baare mein maine apne is post me detail se bataya hai. Zaroor padhiye: [Bhut Pret Jwar Upay: Ghost Fever Ka Sateek Tantrik & Gharelu Ilaaj]
Jyotishacharya Pradip Kumar (15+ saal ka Vedic Astrology aur Tantra Anubhav) Har samasya ka sthayi aur 100% samadhan ke liye aaj hi sampark karein: (Mo.) +91-9438741641 {Call / Whatsapp}