Amala Yog Kundli: Asli Sach, Fayde aur Powerful Rajyog ka Full Analysis
Dosto, aaj kal har banda shortcut se amir aur famous banna chahta hai, par bhai, kismat ka sikka tabhi chalta hai jab kundali mein dum ho. Maine pichle 15+ saalon mein hazaron kundaliyan dekhi hain, aur ek baat danke ki chot par keh sakta hoon—agar aapki kundali mein Amala Yog Kundli hai, toh samajh lo kuber ka khazana aur samaj mein izzat, dono aapki chaukhat par dastak dene wale hain.
Chaliye aaj is “Amala Yog” ka wo asli sach jaante hain jo koi bhi Astrologer Prediction ke samay par bhi iska charcha nahi karte hain.
Agar aap kundli me banne wale sabhi shaktishali yog ke baare me detail me samajhna chahte hain, to hamari
Most Important Yoga category zarur dekhein.
Amala Yog Kundli Asal Mein Hai Kya?
Seedhi bhasha mein samjho—Amala ka matlab hota hai “Nirmal” yaani bina kisi daag ke. Jab ye yog banta hai, toh vyakti ka career aur character dono chamakne lagte hain. Log sirf aapke bhashan ke nahi, aapki shakhsiyat ke diwane ho jate hain.
Amala Yog Kundli Banta Kaise Hai? (Asli Pehchan)
Jyotish ke kitabi keede bahut kuch kahenge, par aap ye 2 simple baatein check karo:
-
Chandrama se 10th House ka khel: Aapki kundali mein Chandrama jahan baitha hai, wahan se ginti shuru karo aur 10th Ghar mein dekho. Agar wahan Guru, Shukra ya Budh jaisa koi shubh grah baitha hai, toh mubarak ho—aapki Amala Yog Kundli active hai.
-
Lagn se Connection: Agar aapke Lagn (1st House) se ginte huye 10th ghar mein shubh grah baitha ho, tab bhi ye Rajyog banta hai.
Dhyan dein: 10th house “Karm” ka ghar hai. Yahan shubh grah ka hona matlab aap jo bhi mitti chuyenge, wo sona ban jayegi.
Mera Anubhav : Dosto, kitabon se hatkar ek asli baat batata hoon. Maine Odisha ke ek aise vyapari ki kundli dekhi thi jiske paas khane ke paise nahi the, par uske 10th house mein Amala Yog Kundli ban raha tha. Maine usse kaha—”Bhai, himmat mat haar, tera time aane wala hai”. Aaj wahi banda 3 factory ka malik hai. Ye hota hai asli Rajyog ka jalwa!
Amala Yog Kundli Ke 4 “Jabardast” Fayde
1. Izzat aisi ki duniya salaam kare: Is yog wala banda jahan jata hai, wahan log kursi chhod kar khade ho jate hain. Aapko samaj mein wo “Classic” rutba milta hai jo har kisi ka sapna hota hai.
“Power aur Paisa ka Connection: Amala Yog aapko izzat toh dilata hai, par kya aapki kismat mein rajneeti ki asli ‘Power’ aur ‘Kursi’ hai? Maine dekha hai ki kai log neta banna chahte hain par unhe asli yog ka pata nahi hota. Jaaniye apni kundali ka wo neta banane wala raaz: [Rajneta Yog Kundli: Kya Aapki Kismat Mein Kursi Hai Ya Sirf Jhanda Uthana Likha Hai?]“
2. Career mein “Permanent” Speed: Maine clients ke charts mein dekha hai, jinki Amala Yog Kundli hoti hai, unka kaam kabhi thap (stop) nahi hota. Chahe naukri ho ya business, aap hamesha top par rahoge.
3. Jeb hamesha bhari rahegi: Jab 10th house mein shubh grah baithta hai, toh paise ki aahat pehle hi sunayi dene lagti hai. Khaskar jab us grah ki dasha aati hai, tab dhana-dhan paisa barasta hai.
4. Khara Sona Jaisa Character: Aap sirf amir nahi honge, aap ek “Sajjan” aadmi kehlayenge. Log aap par aankh band karke vishwas karenge.
Ek Kadwa Sach: Kya aapki kundali mein Rajyog hai par jeb khali hai? Maine dekha hai log isi dushchinta mein rehte hain. Jaaniye kismat kab paltegi: [Kundali mein Rajyog hai par jeb khali Kyun? Jaaniye Rajyog ka Mahatva aur iske jagrit hone ka asli sach!]
Amala Yog Kundli: Grahon ka Alag-Alag Jalwa
Har grah apna alag swaad (Taste) deta hai:
-
Guru (Jupiter): Mil gaya toh Gyan aur Samman ki barish hogi.
-
Shukra (Venus): Mil gaya toh Gaadi, Bangla aur Luxury life fix hai.
-
Budh (Mercury): Mil gaya toh Dimaag aisa chalega ki Business mein koi maat nahi de payega.
Savdhani: Kahin Aapka Yog “Phuss” toh Nahi?
Dosto, sirf yog hona kafi nahi hai. Agar wo Grah neech ka hai, Balheen hai ya Paapi grahon ki drishti mein hai, toh ye yog utna asar nahi dikhayega. Isliye Amala Yog Kundli ka poora fayda lene ke liye kundali ka deep analysis zaroori hai.
Ek Jaruri Sawal: Ab aapke mann mein doubt hoga—”Acharya ji, meri kundali mein toh Guru 10th mein hai, phir bhi main kyun pareshan hoon?”. Toh suno bhai, agar wahi shubh grah ‘Rahu’ ke saath grahan mein fasa hai, toh Rajyog sirf naam ka reh jayega. Adha gyan lekar mat baithiye, kundali ka deep analysis hi aapko sahi rasta dikhayega.
Netaon aur Vyapariyon ke Manpasand Sawaal
-
Q: Kya Amala Yog hamesha 100% result deta hai?
-
A: Result tabhi milega jab grah mein “Bal” (Strength) ho. Bina bal ke rajyog sirf kagaz par hota hai.
-
-
Q: Ye yog kab “Jaagta” hai?
-
A: Jab 10th house mein baithe shubh grah ki Mahadasha ya Antardasha aati hai, tab ye yog shaktishali ho jata hai.
-
-
Q: Kya isse Sarkari Naukri milti hai?
-
A: Bilkul! Agar Surya ka saath mil jaye, toh ye yog aapko bade sarkari pad par baitha deta hai.
-
Nishkarsh
Amala Yog Kundli kismat walon ko milti hai. Ye yog aapko zero se hero banane ka dum rakhta hai. Lekin yaad rakhein, waqt se pehle aur kismat se zyada kisi ko nahi milta. Mere anubhav ke hisab se, abhi ka waqt (khaskar 19 Feb 2026 ke baad) kai logon ke liye dasha parivartan lekar aa raha hai.
Agar aap jaanna chahte hain ki aapki Kundali mein ye Rajyog ‘Soya’ hai ya ‘Jaag’ gaya hai, toh aaj hi sahi vishleshan karwayein.
Acharya Pradip Kumar (Vedic Astrologer & Tantra Expert)
15+ Years of Practical Experience
Mob: +91-9438741641 (Call/Whatsapp)