Surya Rajyog in Kundli Full Guide :
Pranam mere bhaiyo aur behno! Kya aap jaante hain ki kundli mein sabse balwan graha Surya aapko raaton-raat raja bana sakta hai? Aaj hum baat karenge Surya Rajyog in Kundli ke bare mein. Jyotish mein Surya ko ‘Atma’ aur rajsatta ka prateek mana jata hai. Agar aapki kismat sath nahi de rahi ya naukri-vyapaar mein tarakki ruki hui hai, toh iska matlab hai ki aapke Surya ko jagane ki zaroorat hai. Is post mein main, Acharya Pradip Kumar, aapko bataunga ki kaise Surya ke Vesi, Vashi aur ubhayachari yog aapke jeevan mein dhan aur samman ki barsha kar sakte hain.
Surya Rajyog in Kundli Benefits :
Dekho bhai, jaise gaon mein mukhiya ke bina panchayat nahi chalti, waise hi asmaan mein Surya ke bina jeevan ki gaadi nahi chalti. Surya ka mazboot hona matlab—fit sharir, khub paisa aur sarkari darbar mein izzat. Agar Surya bali hai, toh samany insaan bhi raja ban kar raj karta hai. Surya Rajyog in Kundli hone par vyakti ka vyaktitv chamakne lagta hai. Lekin agar Surya Dev rooth gaye, toh samajho sharir, sanmaan aur jeb teeno khali! Surya hamari haddiyon, aankhon aur pachan tantra (Digestion) ka malik hai. Isliye iska shubh hona bahut zaroori hai.
Agar aap kundli me banne wale sabhi shaktishali yog ke baare me detail me samajhna chahte hain, to hamari Most Important Yoga category zarur dekhein.
1.Vesi Yog: Surya ka Pehla Rajyog
Jab aapki kundli mein Surya ke agle ghar (second house from Sun) mein koi grah baith jaye (Moon, Rahu, Ketu ko chhod kar), toh banta hai Vesi Yog.
Asli Baat: Ye yog aisa hai jaise aapke aage chalne wala Bodyguard! Agar Surya majboot hai aur koi paap grah use pareshaan nahi kar raha, toh ye yog aapko netritva (Leadership) deta hai.
Kise Mila? Sachin Tendulkar aur Steve Jobs ki kundli mein ye Surya Rajyog in Kundli maujood hai! Inhone zero se shuru kiya aur duniya jeet li.
Upay: Roz subah thoda Gud (Jaggery) khao, jaise gaon ke pehalwan khate hain, Surya balwan ho jayega!
2. Vashi Yog: Videsh Yatra aur Dhan ka Yog
Agar Surya ke pichhle ghar (twelfth house from Sun) mein koi shubh grah baith jaye, toh banta hai Vashi Yog. Yahan bhi Moon, Rahu, Ketu ki dal nahi galegi.
Guru Ji ka Tajurba: Vashi yog wala banda bada chatur hota hai. Ye log ghar se door jakar, videsh mein jhande gaadte hain. Warren Buffett aur Neetu Singh jaise log isi yog ki wajah se shaan-o-shaukat se jeete hain.
Upay: Roz subah Surya Narayan ko jal chadhayein. Aur haan, plastic ya lohe ke bed par sona band karo, lakdi ke palang ka upyog karo. Sehat aur kismat dono chamkegi.
3. Ubhayachari Yog : Sabse Bada Jackpot
Ye hai asli ‘Maha-Rajyog’! Jab Surya ke aage aur peechhe dono taraf grah hon, toh banta hai Ubhayachari Yog. Ye yog vyakti ko mitti se uthakar asmaan par baitha deta hai.
Ek Sachi Kahani : Mere paas Odisha ke ek chhote se gaon se ek bitiya aayi thi. Maa-baap pareshan the, beti doctor ki padhai karke ghar par thi par naukri nahi mil rahi thi. Maine dekha uski kundli mein Surya Rajyog in Kundli (Ubhayachari) toh tha, par Surya par Shani ki drishti thi. Maine use Surya ka Degree ko badhane keliye ek Lal Rumal hamesha saath rakhne aur Ravivar ka vrat karne ko kaha. Aaj wahi beti America ke bade hospital mein top position par baithi hai!
Bhaiyo, sirf Surya hi nahi, kundli mein aur bhi kai bade rahasya chhupe hote hain. Agar aap jaanna chahte hain ki aapki kismat mein raja banne ka wo “Secret” hai ya nahi, toh mera ye lekh zaroor padhein.
2026 Me Surua -Shukra ki Yuti (Shukraditya Rajyog)
Bhaiyo, 2026 mein Dhanu rashi mein Surya aur Shukra milkar Shukraditya Rajyog banayenge. Ye sanyog un logon ke liye lottery jaisa hai . Jinki kundli mein pehle se hi Surya Rajyog in Kundli ke ansh hain. Isse arthik laabh (money gain) aur career mein badi uchhaal aayegi.
Ye bhi padhein : Janmkundli Me Labhkari Yog: Janiye Kaunsa Rajyog Chamkayega Aapki Kismat
Aksar Pooche Jaane Wale Sawal
1. Kya har kundli mein Surya Rajyog kaam karta hai? Nahi bhai, agar Surya ke saath Rahu ya Ketu baith jayein (Grahan Dosh), toh yog ka phal kam ho jata hai. Iske liye sahi shanti karani padti hai.
2. Kya Surya ko jal chadhana kaafi hai? Jal chadhana pehla kadam hai, lekin ‘Anushasan’ (discipline) asli cheez hai. Pitaji ka samman karo, Surya apne aap khush ho jayenge.
3. Lal rumal hi kyun rakhna chahiye? Lal rang Surya ki urja (energy) ka prateek hai. Ye aapke ‘Aura’ ko majboot karta hai aur har mushkil se ladne ki shakti deta hai.
4. Kya masahari (non-veg) se Surya kharab hota hai? Vedic astrology ke hisab se Ravivar ko non-veg aur sharab se bachna chahiye, taaki aapka Surya Rajyog in Kundli poora asar dikha sake.
5. Surya neech ka ho toh kya karein? Agar Surya tula rashi mein ho toh neech ka hota hai. Iske liye “Aditya Hridaya Stotra” ka paath ram-baan ki tarah kaam karta hai.
Dekho bhai, kismat badalte der nahi lagti, bas sahi guru aur sahi raasta chahiye. Agar aapko apni kundli ka vishleshan karana hai ya Tantra-Mantra se samadhan chahiye, toh be-jhijhak call karein.
Acharya Pradip Kumar (Vedic Astrologer & Tantra Expert)
Mob: +91-9438741641 (Call/Whatsapp)