Kundli Dhan Yoga: Kya aapki kismat mein hai paisa hi paisa?
Ram Ram bhaiyo aur behno! Kaise ho aap sab? Aaj baat karenge us cheez ki jiske peeche puri duniya bhagi ja rahi hai—Paisa! Dekho bhai, log kehte hain “Paisa sabkuch nahi hota,” par sach toh ye hai ki bina paise ke na toh dharam hota hai na karam. Maine apne 15 saal ke tajurbe mein dekha hai, paisa aapki 70% zarurato ko chutki mein hal kar deta hai. Isliye toh budh-prakash log ise “Taral Sona” (Liquid Gold) kehte hain.
Par sawal ye hai—kya har koi Ambani ban sakta hai? Nahi na! Kyun? Kyunki sabki kundli mein wo Kundli Dhan Yoga nahi hota jo chappar faad kar paisa de. Aaj main, Acharya Pradip Kumar, aapko batane wala hun- Grah-Nakshatra kaise aapki tijori bharte hain aur kaise aap bhi apni kundli mein is mahayog ko pehchan sakte hain.
Kundli Dhan Yoga: Kya aapki kismat mein hai paisa hi paisa?
Bhaiyo, sabse pehle toh ye samjho ki ye Kundli Dhan Yoga hota kya hai? Saral bhasha mein kahein toh ye wo sitaron ki setting hai jo aapke liye paise ka rasta kholti hai. Agar ye yog aapki kundli mein hai, toh samjho aap “Sone ka chammach” lekar paida hue ho, bas thodi mehnat ki der hai.
Dhan Ke Karaka: In Graho Ko Pakad Lo!
Astrology mein har cheez ka ek “Manager” hota hai, jise hum ‘Karaka’ kehte hain. Jaise ghar mein Maa Mamta ki karaka hai, waise hi dhan ka asli maalik Brahspati (Jupiter) hai. Iske saath kuch aur grah bhi hain jo aapke Kundli Dhan Yoga ko mazboot banate hain:
Bhaiyo, sirf dhan hi kaafi nahi hota, izzat aur rutba bhi chahiye! Agar aap dekhna chahte hain ki kya aapki kundli mein wo rajsi thaat-baat wala yog hai, toh mera ye post zaroor padhein: 👉 गजकेसरी योग: क्या आपकी किस्मत में राजा बनना लिखा है? (Isme maine bataya hai ki kaise Guru aur Chandra ki jodi aapko duniya ka raja bana sakti hai!)
-
Brahspati: Ye hai tijori ki asli chabi. Iske bina Lakshmi ghar nahi rukti.
-
Shukra, Chandra aur Rahu: Ye wo grah hain jo paisa kamane mein tel-paani ka kaam karte hain.
-
Rahu ka Chamatkar: Suno bhai, log darte hain “Rahu” se, par maine dekha hai ki jab Rahu 11ve bhav mein baithta hai, toh insaan ko itna paisa deta hai ki sambhala nahi jata. Ye bilkul waisa hi hai jaise gaon mein koi akela aadmi purani haveli se khazaana nikal le!
Neech Ke Grah: Kya Ye Sach Mein Bure Hain?
Log mujhse puchte hain, “Acharya ji, mera toh grah neech ka hai, kya main bhikhari ban jaunga?” Arre pagal ho kya? Ulta hisab bhi hota hai! Purane zamane mein log santosh rakhte the, isliye neech ke grah ko bura maante the kyunki wo “Bhog-vilas” deta hai. Par aaj ke kalyug mein, neech ka grah bhale hi thodi pareshani de, par badle mein itna paisa de deta hai ki bank balance kam nahi padega. Bas ek baat yaad rakhna—Brihspati aur Budh neech ke nahi hone chahiye, baaki toh hum sambhaal lenge!
5 Shaktishali Kundli Dhan Yoga (Jo Aapko Malamaal Karenge)
Chalo, ab seedhe point par aate hain. Apni kundli kholo aur dekho ye Kundli Dhan Yoga aapki kismat mein hain ya nahi:
-
Chandra-Shukra ki Jodi: Agar ye dono 2re ya 11ve bhav mein baithe hain, toh samajh lo Laxmi ji ne aapke ghar ka rasta dekh liya hai. Aap ek shandaar aur vaibhavpurn jeevan jiyenge.
-
Chandra-Mangal (Laxmi Yog): Inki yuti ya drishti ho, toh paisa khicha chala aata hai. Bill Gates ki kundli dekh lo, inka bhi yahi hisab hai!
-
Brahspati-Shukra Ka Sangam: 2, 5, 9 ya 11ve bhav mein ye baith jayein toh kismat chamakne se koi nahi rok sakta. Ye ek behtareen Kundli Dhan Yoga mana jata hai.
-
Shukra-Budh ki dosti: Ye aksar bade businessmen ki kundli mein hota hai. Agar aap dukan ya vyapar karte hain, toh ye yog aapke liye vardan hai. Dhan ke liye Budh ka balwan hona bahut zaruri hai. Agar aapki kundli mein Budh aur Surya ek saath baithe hain, toh samajh lo kismat ka darwaza khul gaya! Is khas yog ke baare mein vistar se yahan padhein: Budhaditya Yog: Kismat Chamkane Wala Maha Sanjog!“
-
11ve Bhav Ka Rahu: Ye “VIP” yog hai. Jab paapi grah 11ve bhav (Labha sthana) mein baithta hai, toh wo khatam na hone wala dhan deta hai.
Mere Anubhav ki Baat: Ludhiana Wale Bhai Ka Kissa
Ek baar mere paas Ludhiana se ek ladka aaya tha. Kehne laga, “Acharya ji, mehnat bahut karta hoon par jeb khaali rehti hai.” Maine kundli dekhi toh Kundli Dhan Yoga toh tha, par Shani ki drishti ne use block kiya tha. Maine use samjhaya ki tera khazaana toh wahi hai, bas taala laga hai. Maine kuchh tantrik upay aur Shani Dev ki kripa prapti ka kuchh normal desi upay karaya. Aaj wo ladka khud ek successful businessman hai. Ye sab uparwale ka chamatkar hai aur kuch nahi. Bas aapko sahi samay par sahi upay karna chahiye.
Bhavpati (House Lords) Ka Khel
Sirf grah nahi, unka ghar bhi maayne rakhta hai. Agar aapko apna Kundli Dhan Yoga check karna hai, toh ye 5 ghar hamesha yaad rakho: 1, 2, 5, 9 aur 11.
-
1st House (Lagna): Ye aap khud ho. Aapki mehnat ki shamta.
-
2nd House (Dhan): Ye hai bank balance aur parivarik sampatti.
-
5th House: Ye hai stock market aur lottery wali kismat.
-
9th House (Laxmi Bhav): Ye hai sabse badi kismat.
-
11th House (Labh): Ye hai sabse important—aapki har ichha puri hone wala ghar.
Agar 5ve ka swami 9ve mein baith jaye, ya 2re ka 11ve mein—toh samajh lo “Chandi hi Chandi” hai!
8va Bhav: Achanak Dhan Ka Pitara
Aap hairan honge, par 8va bhav (jo ki paap bhav hai) aapko crorepati bana sakta hai! Kaise? Kyunki ye “An-earned Money” ka ghar hai—Sasural se mila paisa, purani sampatti ya achanak lagne wali lottery. Agar 2re aur 5ve ka swami 8ve mein baith jaye, toh ye ek “Achanak wala” Kundli Dhan Yoga banata hai jahan lottery lagne ke chance 100% badh jaate hain.
Agar aap kundli me banne wale sabhi shaktishali yog ke baare me detail me samajhna chahte hain, to hamari
Most Important Yoga category zarur dekhein.
Aapke Sawal Ke Jawab :
Q1. Kya ek se zyada Dhan Yog ho sakte hain? Ans: Haan bhai, bilkul! Jitne zyada yog, utna zyada paisa. Par unki taqat unke nakshatra aur degree par depend karti hai.
Q2. Meri Kundli Dhan Yoga hai par paisa nahi mil raha, kyun? Ans: Ho sakta hai wo grah “Mrit” (Dead) ho ya kisi paapi grah ki drishti ho. Iske liye Navansh chart dekhna aur sahi upay karna bahut zaruri hai.
Q3. Kya upay se kismat badli ja sakti hai? Ans: Upay graho ki negative energy ko kam karte hain aur block raste kholte hain. Asli mehnat ke saath sahi upay mil jaye toh chamatkar hota hai!
Q4. Sabse bada Kundli Dhan Yoga kaunsa hai? Ans: Jab 2re aur 11ve bhav ke swami aapas mein jagah badal lein (Parivartan Yog), toh use sabse shaktishali maana jata hai.
Q5. Kya Tantra se dhan prapti ho sakti hai? Ans: Tantra ek vigyan hai. Sahi vidhi se kiya gaya poojan aapki daridrata ko hamesha ke liye khatam kar sakta hai.
Conclusion
Dosto, kismat sabki hoti hai, bas sahi rasta dikhane wala chahiye. Har kisi ki kismat mein koi na koi Kundli Dhan Yoga zaroor hota hai, bas zarurat hai use jagane ki. Agar aap bhi apni kundli ka pura vishleshan (analysis) karwana chahte hain ya dukho se chutkara paana chahte hain, toh der mat karo.
Acharya Pradip Kumar (Vedic Astrologer & Tantra Expert)
Mob: +91-9438741641 (Call/Whatsapp)