Rajneta Yog Kundli का “शक्तिशाली” सच: क्या आपकी किस्मत में कुर्सी है या सिर्फ झंडा उठाना?
Aaj kal har dusra insan safed kurta pehen kar neta banna chahta hai, par bhai, pehle ye toh samjho ki Rajneta Yog Kundli koi mazaak nahi hai. Seedhi si baat hai— Neta banne ke liye sirf bhashan kafi nahi hai, kundali mein wo “Role” aur “Power” honi chahiye jo hazaron ki bheed ko aapka deewana bana de.
Maine pichle 15+ saalon mein dekha hai ki log Rajneta Yog ke naam par apna kamaya hua saare paisa aur career dono barbaad kar lete hain . Dosto, Rajneta Yog Kundli ke baare mein internet par bahut bhram hai, lekin main yahan wahi batayunga jo maine practical dekha hai. Chaliye aaj politics ka wo asli sach jaante hain ..
1. Politics ka Asli Khiladi: Rahu aur Surya ka “Power Play”
Vedic Jyotish mein politics ka asli master-mind Rahu hai. Bina Rahu ke koi neta nahi ban sakta, kyunki Rahu hi wo “Tedhi Niti” (Strategy) deta hai jo dushman ko maat de sake.
-
Rahu ka Secret: Agar Rahu 6th, 10th ya 11th bhav mein ho, toh vyakti achanak se zero se hero ban kar politics mein unchaiyon par pahunch jata hai.
-
Surya ka Dam: Surya “Sarkar” hai. Agar Surya 10th house mein “Digbali” (Directional Strength) lekar baitha ho, toh neta ka ek ishaara hi kafi hota hai prashasan hilane ke liye.
-
Astrological Tip: Agar Surya aur Rahu ka sambandh ho, toh vyakti “Chanakya” jaisi rajniti karta hai.
Agar aap kundli me banne wale sabhi shaktishali yog ke baare me detail me samajhna chahte hain, to hamari
Most Important Yoga category zarur dekhein.
2. Dasham Bhav aur Shani: Janta ka Saccha Pyar
Kundali ka 10th house (Dasham Bhav) hi ye tay karta hai ki aap kursi par baithenge ya sirf poster lagayenge.
-
Shani ka Rola: Shani “Janta” ka grah hai. Agar aapka Shani mazboot hai, tabhi aapko “Mass Support” yaani jan-samarthan milega.
-
Leadership ka Formula: Jab 10th house ka swami 7th house (Public) se rishta banata hai, toh neta janta ke dilon par raaj karta hai.
-
Maine kayi clients ke charts mein dekha hai ki jab Shani aur Mangal ki drishti 10th house par padti hai, toh vyakti “Kranti” (Revolution) laane wala neta banta hai.
3. Vaani ka Jaadu: Budh aur Guru ka Connection
Ek Kadwa Sach: Kya aapki kundali mein bhi bade-bade Rajyog dikhte hain, par asliyat mein jeb hamesha khali rehti hai? Maine apne 15 saalon mein dekha hai ki log isi confusion mein jeete hain. Agar aap jaanna chahte hain ki aapka Rajyog ‘Soya’ hai ya ‘Jaag’ gaya hai, toh ye zaroor padhein: [Kundali mein Rajyog hai par jeb khali Kyun? Jaaniye Rajyog ka Mahatva aur iske jagrit hone ka asli sach!]
Neta wahi hai jiski ek awaaz par bheed pagal ho jaye. Iske liye aapka 2nd House (Vaani) aur Budh ka balwan hona bahut zaroori hai.
-
Bhashan Shakti: Agar 2nd house mein Guru ya Budh ki shubh drishti ho, toh vyakti aisa bolta hai ki patthar bhi pighal jayein.
-
Trick: Agar aapka Budh “Asta” (Combust) hai, toh neta banne se pehle apni “Communication Skills” par kaam karein, nahi toh log aapka mazaak banayenge.
[Neechbhanga Rajyog Rules: Jaaniye kaise neech ka grah bhi aapko zero se hero bana sakta hai]
4. Navamsha (D9) aur Dashamsha (D10): Asli Pariksha
Kai baar log puchte hain ki kya Rajneta Yog Kundli sirf bade gharano ke bacchon ke liye hoti hai? Bilkul nahi. Dosto, sirf Janm Kundali (D1) dekhkar khush mat ho jana. Maine aisi kundaliyan dekhi hain jahan D1 mein Rajneta Yog Kundli dikhta hai par Navamsha mein wo “Phuss” ho jata hai.
-
Sthir Safalta: Navamsha hi batata hai ki aapka pad (position) kitna lamba chalega.
-
Career Clarity: Dashamsha (D10) kundali se hi ye pata chalta hai ki aap “Opposition” mein rahenge ya “Satta” (Power) mein.
5. Shani ki ‘Cleaning’ aur Rajneta Yog
Ek bahut hi dilchasp case study mere paas hai (jo lagbhag har sangharsh karne wale par fit baithti hai). Ek vyakti June 2023 se bhayankar mansik dushchinta aur aarthik nuksan jhel rahe hain. Unka kaam-kaaj ruk gaya hai aur unhe lag raha hai ki unka Rajneta Yog sirf kagaz par reh gaya hai.
Lekin jab maine unki kundali dekhi, toh paya ki unki Shukra-Guru ki dasha chal rahi thi, aur Guru unke 12th house (Kharch aur Chinta) ka swami tha. Maine unhe saaf kaha—”Ghabraiye mat, ye Shani ki ‘Cleaning’ chal rahi hai jo 19 February 2026 tak rahegi.”
Present Baat Hai : Jaise hi 19 Feb 2026 aayega aur Shani ki Antardasha shuru hogi, unka Vargottama Shani (D9) unhe wo kursi aur samman dilwayega jiske liye wo barson se tadap rahe hain.
(Rajyog hamesha “Red Carpet” bichakar nahi aata, kabhi-kabhi dhakke khilakar asli neta banati hai.)
Niche maine Rajneta Yog Kundli se jude kuch aise sawal liye hain jo aksar neta banne ki chah rakhne wale puchte hain.
-
Q: Kya Rajneta Yog Kundli har kisi ko kursi dilata hai?
-
A: Bilkul nahi! Yog mauka dete hain, par “Time Management” aur “Karmic Connection” hi aapko kursi dilata hai.
-
Q: Politics ke liye sabse zaruri “Secret” grah kaun sa hai?
-
A: Surya (Power), Rahu (Niti), aur Shani (Public Support). Ye tri-shakti hi aapko neta banati hai.
-
Q: Kya bina Rajneta Yog ke bhi neta ban sakte hain?
-
A: Ban sakte hain, par wo safalta “Temporary” hogi—barsaati mendak ki tarah.
Nishkarsh:
Rajneta Yog Kundli ka mahatva sirf chunav jitna nahi, balki janta ki seva aur apna naam amar karna hai. Jyotish vidya koi jaadu nahi, balki waqt ki aahat ko samajhne ka ek sateek science hai. Agar aap jaanna chahte hain ki aapki kundali mein “Satta ka Yog” kab jaagega, toh aaj hi sahi vishleshan karwayein.
Acharya Pradip Kumar (Vedic Astrologer & Tantra Expert)
15+ Years of Practical Experience
Mob: +91-9438741641 (Call/Whatsapp)