Vipreet Rajyoga: Jab Bura Waqt Ban Jaye Kismat Chamkane Wala Rajyoga!

Vipreet Rajyoga Ke 3 Bade Prakar: Harsha, Saral aur Vimal Yoga

Mere pyaare doston- pranaam! Aaj hum baat karenge ek aise yog ki jo sunne mein toh thoda darawana lagta hai, par jab phalta hai na, toh gareeb ko bhi raja bana deta hai. Iska naam hai Vipreet Rajyoga.

Gaon ki bhasha mein samjhu toh, jaise keechad mein kamal khilta hai, ye yog bilkul waisa hi hai. Log darte hain 6th, 8th aur 12th ghar se, par mere 15 saal ke anubhav mein maine dekha hai ki yahi “Badnaam” ghar insaan ko Zero se Hero banate hain.

Bhaiyo, Vipreet Rajyoga toh kismat palat-ta hi hai, par kya aapne Surya Rajyoga ke baare mein suna hai? Agar kundli mein Surya balwan ho jaye toh insaan duniya par raaj karta hai. Iska pura sach yahan padhein: Surya Rajyog in Kundli Full Guide

Kya Hai Yeh Vipreet Rajyoga?

Dekho bhai, hamari kundli mein teen ghar aise hote hain jinhe hum “Trik” ghar kehte hain—6th (Bimari/Dushman), 8th (Mrityu/Kasht), aur 12th (Kharcha/Nuksan). Ab niyam ye hai ki in gharon ke maalik (Lords) jahan baithenge, us ghar ka satyanash kar denge.

Par Vipreet Rajyoga ka chamatkar tab hota hai jab:

  • 6th Ghar ka maalik 8th ya 12th mein baith jaye.

  • 8th Ghar ka maalik 6th ya 12th mein baith jaye.

  • 12th Ghar ka maalik 6th ya 8th mein baith jaye.

Iska matlab samjhe? Ek gunda (6th Lord) doosre gunde ke ilake (12th House) mein gaya aur dono ne lad-mar kar ek doosre ko khatam kar diya! Ab jab burai hi khatam ho gayi, toh bacha kya? Sirf achhai aur kamyabi!

Agar aap kundli me banne wale sabhi shaktishali yog ke baare me detail me samajhna chahte hain, to hamari
Most Important Yoga category zarur dekhein.

Iske 3 Jadui Prakar (Variants)

1. Harsha Yoga (Khushiyon Ka Pitara): Jab 6th Ghar ka maalik 8th ya 12th mein baithta hai. Mere bhai, iska naam hi “Harsh” hai matlab khushi. Aisa insaan apne dushmanon ko aise masal deta hai jaise khet mein tiddi dal ko. Iska swasthya ekdum lohe jaisa majboot rehta hai.

2. Saral Yoga (Rasta Saaf Karne Wala): Jab 8th house ka maalik 6th ya 12th mein baith jaye. Log kehte hain 8th ghar rukaawat hai, par Saral Yoga wala insaan har mushkil ko chutkiyon mein hal kar leta hai. Yeh log mitti ko chhuein toh sona ban jaye.

3. Vimal Yoga (Paavan aur Shaktishaali): Jab 12th house ka maalik 6th ya 8th mein chala jaye. 12th ghar matlab kharcha, par Vimal Yoga mein wahi kharcha investmemt ban jata hai. Insaan ka charitra saaf hota hai aur wo dhan-daulat se khelta hai.

Bhai, sirf Vipreet hi nahi, kundli mein aur bhi kai aise shaktishaali yog hote hain jo aapko raato-raat raja bana sakte hain. Kya aapne apni kundli check ki? Janiye Kundli Me Rajyog aur Dosha: Kya Aapki Kismat Mein Raja Banne Ka Secret Hai? aur dekhiye kismat ka asli khel!

Mera 15 Varshon ka Anubhav :

Mere paas Bhopal ka ek ladka aaya tha. Bechara bahut pareshan tha karj ke wajah se , naukri ja rahi thi aur karz badh raha tha. Maine uski kundli ko one by one jab study kiya to dekhi, usme Vipreet Rajyoga ban raha tha (12th Lord 6th mein tha). Maine usse kaha, “Beta -Daro Mat, Tera Bura Waqt hi Teri Kismat Khulega.”

Maine usse kuch normal upay bataye aur sahi disha dikhayi. Aaj wahi ladka ek badi Navratna Manyta company me achhi salary me job kar raha hai ! Kyun? Kyunki uske dushmanon ne hi uske liye rasta saaf kar diya. Yahi hai Vipreet Rajyoga ki taqat!

Kyun Milta Hai Isse Itna Labh?

Jaise maine kaha, 6th ghar ka maalik malefic (Ashubh) hota hai. Agar wo 12th mein baitha, toh wo 12th ghar ki burai (Nuksan) ko kha jayega. “Minus into minus Equals Plus”—vahi vedic ganit (maths) yahan lagta hai. Jab ashubhta hi mit gayi, toh bhagya ka uday hona nishchit hai.

Kuch Zaroori Baatein :

  • Kya sabke liye ye yoga kaam karta hai? Nahi bhai, lagna lord (Lagnapurush) ka bali hona bahut zaroori hai. Agar aapka sharir hi kamzor hai, toh aap raj-sukh kaise bhogoge?

  • Vipreet Rajyoga ka phal kab milta hai? Jab un grahon ki dasha ya antardasha aati hai jo ye yog bana rahe hain. Tabhi kismat ka gear badalta hai.

  • Kya isme Tantra ka koi role hai? Bilkul! Tantra se hum un grahon ki urja (energy) ko sahi disha mein mod sakte hain taaki phal jaldi mile.

Doston, agar aapki kundli mein bhi aisi koi sthiti hai aur aap pareshan ho, toh ghabrao mat. Ho sakta hai aapka “Vipreet” waqt hi aapko “Rajyoga” dene wala ho!

Hamesha yaad rakho, grah toh sirf rasta dikhate hain, chalna aur sahi upay karna aapke hath mein hai. Agar kundli dikhani ho ya koi samasya ho, toh apne is no par samprk kar sakte ho.

Acharya Pradip Kumar (Vedic Astrologer & Tantra Expert)

Mob: +91-9438741641 (Call/Whatsapp)

Acharya Pradip Kumar is the founder of Mystic Shiva Astrology and a practitioner of Vedic astrology with a solution-oriented approach. His work focuses on understanding birth charts as tools for clarity, awareness, and practical decision-making rather than fear-based predictions. Rooted in classical astrological principles and real-life experience, he emphasizes responsible guidance, timing, and conscious remedies aligned with an individual’s life path.

Leave a Comment